aawaz se bahar
ka.ī sadiyoñ se āvāzoñ ne
rūhoñ ko bhañbhoḌā hai
sajal ehsās kī rag se
lahū kā āḳhirī qatra
qarīne se nichoḌā hai
mire agloñ ko mujh ko
gum-shuda ḳhvāboñ kī manzil par
binā āvāz jaanā hai
sadā ke mābadoñ kī
tīrgī ko chhoḌ kar pīchhe
ḳhalāoñ meñ nayā rasta banānā hai
kai sadiyon se aawazon ne
ruhon ko bhanbhoDa hai
sajal ehsas ki rag se
lahu ka aaKHiri qatra
qarine se nichoDa hai
mere aglon ko mujh ko
gum-shuda KHwabon ki manzil par
bina aawaz jaana hai
sada ke mabadon ki
tirgi ko chhoD kar pichhe
KHalaon mein naya rasta banana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.