aawaz
tumhārī zabāñ se girā
ek shoḳh lafz
bārish
yuuñ lagā ki mujhe chhū gayā ho jaise
khiḌkī ke bāhar būñdoñ kī TipTipāhaT
kānoñ se hotī huī dhaḌkan tak aa pahūñchī
ek sañgīt ek raag thā
donoñ meñ
pattoñ par paanī kī būñdeñ yuuñ lagī maano
tum ne chamaktī sī kuchh ḳhvāhisheñ rakhī hoñ
giilī giilī yādoñ kī kuchh phūhāreñ
safed jhīne pardoñ se aatī ThanDī havā
duur tak phaile hue devdār ke daraḳht
aur un kī nau-umr Tahniyāñ kī sargoshiyāñ
pairoñ kī uñgliyoñ meñ gudgudī kar ga.ī
suno nā
maiñ kasmasā jaatī huuñ
yuuñ na merā naam liyā karo
tumhaari zaban se gira
ek shoKH lafz
barish
yun laga ki mujhe chhu gaya ho jaise
khiDki ke bahar bundon ki TipTipahaT
kanon se hoti hui dhaDkan tak aa pahunchi
ek sangit ek rag tha
donon mein
patton par pani ki bunden yun lagi mano
tum ne chamakti si kuchh KHwahishen rakhi hon
gili gili yaadon ki kuchh phuhaaren
safed jhine pardon se aati ThanDi hawa
dur tak phaile hue dewdar ke daraKHt
aur un ki nau-umr Tahniyan ki sargoshiyan
pairon ki ungliyon mein gudgudi kar gai
suno na
main kasmasa jati hun
yun na mera nam liya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.