aazad shahri: ek taaruf
vo marne pe raazī nahīñ thā
baḌā DhiiT thā
shāhī farmān par
us ne apnī zabāñ kaaT lī thī
vo āñkhoñ se andhā thā kānoñ se bahrā
use apne chāroñ taraf dekhne kī ijāzat nahīñ thī
samā.at pe pābandiyāñ thiiñ
magar shāhī dastūr meñ
zikr aisī kisī baat kā bhī nahīñ thā
vo āzād thā apne ghar kī hadoñ tak
badan kī tahoñ tak
vo ādhā-adhūrā thā dil us kā
gahre azāboñ se ḳhālī nahīñ thā
sunā hai: vo is par bhī
marne par raazī nahīñ thā
vo ḳhush thā ki us mulk ke shāhī dastūr meñ
us ko āzād likkhā gayā thā
wo marne pe raazi nahin tha
baDa DhiT tha
shahi farman par
us ne apni zaban kaT li thi
wo aankhon se andha tha kanon se bahra
use apne chaaron taraf dekhne ki ijazat nahin thi
samaat pe pabandiyan thin
magar shahi dastur mein
zikr aisi kisi baat ka bhi nahin tha
wo aazad tha apne ghar ki hadon tak
badan ki tahon tak
wo aadha-adhura tha dil us ka
gahre azabon se KHali nahin tha
suna hai: wo is par bhi
marne par raazi nahin tha
wo KHush tha ki us mulk ke shahi dastur mein
us ko aazad likkha gaya tha
- Book : Intekhab-e- kumaar paashii (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.