aazadgi
vaqt kā bojh
pathrīlī chup
ūñche ūñche pahāḌ
maiñ pahāḌoñ ke dāman meñ phailī huī ghaas par
pattī pattī kī tahrīr paḌhtā huuñ asrār meñ ġharq huuñ
der se jhiil kī aañkh jhapkī
na sahme hue par kahīñ phaḌphaḌā.e
na kaliyāñ hī chaTkīñ
na patte hile
har ghanā peḌ nirvān kī aas meñ gum hai
sūkhī huī Tahniyāñ sab salībeñ haiñ
har ġhaar jaise kisī jibraīl-e-amīñ ke liye hai
kailāsh chup-chāp hai
guuñj hī guuñj
be-lafz-o-ma.anī faqat ek guuñj
''sārī sachchā.iyāñ
jhuuT kī kokh se phuuT kar
lahlahātī haiñ, ḳhushbū luTātī haiñ, phir jhuuT hī kī taraf
lauT jaatī haiñ tum se mujhe
bhalā kyā gilā''
guuñj hī guuñj
be-lafz o ma.anī faqat ek guuñj
bansurī kī madhur taan gūñjī to aise lagā
jaise mujh meñ kisī ne
parinde kī mānind par jhaaḌ kar jhurjhurī lī
jhāḌiyoñ meñ
pur-asrār sī sarsarāhaT
koī paiġhām, qadmoñ kī aahaT
nahīñ kuchh nahīñ
ek charvāhā bheḌoñ kā galla liye aa gayā
sabza-zāroñ pe ma.asūm bheḌeñ baḌhīñ
dekhte dekhte
pattī pattī kī tahrīr
asrār sab char ga.iiñ
waqt ka bojh
pathrili chup
unche unche pahaD
main pahaDon ke daman mein phaili hui ghas par
patti patti ki tahrir paDhta hun asrar mein gharq hun
der se jhil ki aankh jhapki
na sahme hue par kahin phaDphaDae
na kaliyan hi chaTkin
na patte hile
har ghana peD nirwan ki aas mein gum hai
sukhi hui Tahniyan sab saliben hain
har ghaar jaise kisi jibrail-e-amin ke liye hai
kailash chup-chap hai
gunj hi gunj
be-lafz-o-mani faqat ek gunj
sari sachchaiyan
jhuT ki kokh se phuT kar
lahlahati hain, KHushbu luTati hain, phir jhuT hi ki taraf
lauT jati hain tum se mujhe
bhala kya gila
gunj hi gunj
be-lafz o mani faqat ek gunj
bansuri ki madhur tan gunji to aise laga
jaise mujh mein kisi ne
parinde ki manind par jhaD kar jhurjhuri li
jhaDiyon mein
pur-asrar si sarsarahaT
koi paigham, qadmon ki aahaT
nahin kuchh nahin
ek charwaha bheDon ka galla liye aa gaya
sabza-zaron pe masum bheDen baDhin
dekhte dekhte
patti patti ki tahrir
asrar sab char gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.