aazadi
shahr-e-lā-makāñ se huuñ
jis meñ ik makāñ merā
ḳhvāb se ubhartā hai
dūdhiyā saverā sā
dhyān meñ nikhartā hai
jo hadoñ se aarī hai
intihā nahīñ rakhtā
chaukhaTeñ darīche dar
kyā gumān meñ aa.eñ
(sehn āñgan aur dīvār kā ḳhayāl hī be-kār)
chaar samt kī dīvār
chāhe kitnī phailī ho
aap kā ahāta hai
aap kā hai gherāv
kyuuñ giraft meñ aa.uuñ
kyuuñ mujhe koī ghere
sirf ek ḳhvāhish hai
be-hudūd āzādī!
shahr-e-la-makan se hun
jis mein ek makan mera
KHwab se ubharta hai
dudhiya sawera sa
dhyan mein nikharta hai
jo hadon se aari hai
intiha nahin rakhta
chaukhaTen dariche dar
kya guman mein aaen
(sehn aangan aur diwar ka KHayal hi be-kar)
chaar samt ki diwar
chahe kitni phaili ho
aap ka ahata hai
aap ka hai gheraw
kyun giraft mein aaun
kyun mujhe koi ghere
sirf ek KHwahish hai
be-hudud aazadi!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 88)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.