aazadi
mirī sadā hai gul-e-sham-e-shām-e-āzādī
sunā rahā huuñ diloñ ko payām āzādī
lahū vatan ke shahīdoñ kā rañg laayā hai
uchhal rahā hai zamāne meñ nām-e-āzādī
mujhe baqā kī zarūrat nahīñ ki faanī huuñ
mirī fanā se hai paidā davām-e-āzādī
jo raaj karte haiñ jamhūriyat ke parde meñ
unheñ bhī hai sar-o-saudā-e-ḳhām-e-āzādī
banā.eñge na.ī duniyā kisān aur mazdūr
yahī sajā.eñge dīvān-e-ām-e-āzādī
fazā meñ jalte diloñ se dhuāñ sā uThtā hai
are ye sub.h-e-ġhulāmī ye shām-e-āzādī
ye mahr-o-māh ye taare ye baam haft-aflāk
bahut buland hai in se maqām-e-āzādī
fazā-e-shām-e-sahar meñ shafaq jhalaktī hai
ki jaam meñ hai mai-e-lāla-fām-e-āzādī
syāh-ḳhāna-e-duniyā kī zulmateñ haiñ do-rañg
nihāñ hai sub.h-e-asīrī meñ shām-e-āzādī
sukūñ kā naam na le hai vo qaid-e-be-mī.ād
hai pai-ba-pai harakat meñ qayām-e-āzādī
ye kārvān haiñ pasmāñdgān-e-manzil ke
ki rahravoñ meñ yahī haiñ imām-e-āzādī
diloñ meñ ahl-e-zamīñ ke hai niiv us kī magar
qusūr-e-ḳhuld se ūñchā hai bām-e-āzādī
vahāñ bhī ḳhāk-nashīnoñ ne jhanDe gaaḌ diye
milā na ahl-e-duval ko maqām-e-āzādī
hamāre zor se zanjīr-e-tīrgī TuuTī
hamārā soz hai māh-e-tamām-e-āzādī
tarannum-e-saharī de rahā hai jo chhup kar
harīf-e-sub.h-e-vatan hai ye shām-e-āzādī
hamāre siine meñ sho.ale bhaḌak rahe haiñ 'firāq'
hamārī saañs se raushan hai nām-e-āzādī
meri sada hai gul-e-sham-e-sham-e-azadi
suna raha hun dilon ko payam aazadi
lahu watan ke shahidon ka rang laya hai
uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi
mujhe baqa ki zarurat nahin ki fani hun
meri fana se hai paida dawam-e-azadi
jo raj karte hain jamhuriyat ke parde mein
unhen bhi hai sar-o-sauda-e-KHam-e-azadi
banaenge nai duniya kisan aur mazdur
yahi sajaenge diwan-e-am-e-azadi
faza mein jalte dilon se dhuan sa uThta hai
are ye subh-e-ghulami ye sham-e-azadi
ye mahr-o-mah ye tare ye baam haft-aflak
bahut buland hai in se maqam-e-azadi
faza-e-sham-e-sahar mein shafaq jhalakti hai
ki jam mein hai mai-e-lala-fam-e-azadi
syah-KHana-e-duniya ki zulmaten hain do-rang
nihan hai subh-e-asiri mein sham-e-azadi
sukun ka nam na le hai wo qaid-e-be-miad
hai pai-ba-pai harakat mein qayam-e-azadi
ye karwan hain pasmandgan-e-manzil ke
ki rahrawon mein yahi hain imam-e-azadi
dilon mein ahl-e-zamin ke hai niw us ki magar
qusur-e-KHuld se uncha hai baam-e-azadi
wahan bhi KHak-nashinon ne jhanDe gaD diye
mila na ahl-e-duwal ko maqam-e-azadi
hamare zor se zanjir-e-tirgi TuTi
hamara soz hai mah-e-tamam-e-azadi
tarannum-e-sahari de raha hai jo chhup kar
harif-e-subh-e-watan hai ye sham-e-azadi
hamare sine mein shoale bhaDak rahe hain 'firaq'
hamari sans se raushan hai nam-e-azadi
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 376)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.