aazadi
jī meñ aatā hai ham bhī uḌāneñ bhareñ
āsānoñ kī niilī hadoñ ko chhueñ
sāgaroñ aur nadiyoñ meñ ġhaltāñ raheñ
shahr meñ gaañv meñ jangaloñ meñ phireñ
jī meñ aatā hai phūloñ kī ra.pngat
khetoñ kā hasīñ bāñkpan
bāñsurī kī vo tāneñ
papīhoñ ke bol
raqs kartī huī in fazāoñ kī mad.hoshiyāñ
kār-ḳhānoñ kī hangāma-ārā.iyāñ
bhūke pyāse mahloñ kī vīrāniyāñ
dard kī hasratoñ kī ye tārīkiyāñ
saarī mahrūmiyāñ saarī majbūriyāñ
apnī hastī meñ bhar leñ
sub.h-dam narm-o-tāza bahāroñ ke masrūr jhoñke
ham ko tārīk aur ġham-zada raat kī
uljhanoñ vahshatoñ se dilā deñ najāt
jin meñ sadiyoñ se hai qaid apnī hayāt
na.ī-o-tāza havāoñ ke masrūr jhoñkoñ meñ shaktī kahāñ
ki tauq-o-dār-o-rasan se vo āzād kar deñ
apnī āzādī ham ko hī paanī paḌegī
jaan kī dil kī baazī lagānī paḌegī
zimmedārī aham hai uThānī paḌegī
aaj dīvār-e-zindāñ Dhānī paḌegī
apnī sāñsoñ kī garmī se
ḳhvāboñ kī lau se
apne ashkoñ ke zahrāb se
apne armānoñ kī lamha lamha dahaktī huī aag se
tauq ko aur zanjīr ko
qaid ko aur jallād ko
zālimoñ kī kamīñ-gāh ko
in añdheroñ ke dahshat-zada ūñche ūñche mināroñ ko
pighlā deñ Dhā deñ chalo ḳhaak kar deñ
har taraf ek surḳhī sī chhā jā.egī
zindagī apnī manzil ko pā jā.egī
ji mein aata hai hum bhi uDanen bharen
aasanon ki nili hadon ko chhuen
sagaron aur nadiyon mein ghaltan rahen
shahr mein ganw mein jangalon mein phiren
ji mein aata hai phulon ki rapngat
kheton ka hasin bankpan
bansuri ki wo tanen
papihon ke bol
raqs karti hui in fazaon ki madhoshiyan
kar-KHanon ki hangama-araiyan
bhuke pyase mahlon ki viraniyan
dard ki hasraton ki ye tarikiyan
sari mahrumiyan sari majburiyan
apni hasti mein bhar len
subh-dam narm-o-taza bahaaron ke masrur jhonke
hum ko tarik aur gham-zada raat ki
uljhanon wahshaton se dila den najat
jin mein sadiyon se hai qaid apni hayat
nai-o-taza hawaon ke masrur jhonkon mein shakti kahan
ki tauq-o-dar-o-rasan se wo aazad kar den
apni aazadi hum ko hi pani paDegi
jaan ki dil ki bazi lagani paDegi
zimmedari aham hai uThani paDegi
aaj diwar-e-zindan Dhani paDegi
apni sanson ki garmi se
KHwabon ki lau se
apne ashkon ke zahrab se
apne armanon ki lamha lamha dahakti hui aag se
tauq ko aur zanjir ko
qaid ko aur jallad ko
zalimon ki kamin-gah ko
in andheron ke dahshat-zada unche unche minaron ko
pighla den Dha den chalo KHak kar den
har taraf ek surKHi si chha jaegi
zindagi apni manzil ko pa jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.