aazadi ka git
aaj ham sab shaad haiñ apnā vatan āzād hai
ham haiñ bulbul jis chaman ke vo chaman āzād hai
aaj āzādī kā din hai aao ham ḳhushiyāñ manā.eñ
naach āzādī kā nācheñ giit āzādī ke gaa.eñ
thī ghaTā chhā.ī huī andher kī vo chhaT ga.ī
teġh-e-āzādī se zanjīr-e-ġhulāmī kaT ga.ī
aaj vo din hai huī thī desh kī jantā kī jiit
aaj hī ke din chalī thī is meñ āzādī kī riit
aaj vo din hai tarāne aish ke ishrat ke gaa.eñ
aaj vo din hai ki tāneñ mil ke ḳhushiyoñ kī uḌā.eñ
qaum jo āzād hai duniyā meñ izzat us kī hai
aan us kī shaan us kī aur azmat us kī hai
desh ke bachche bhī ḳhush haiñ kyoñ na ho in kī ḳhushī
khil ga.ī hai phuul ban kar aaj har dil kī kalī
dil lagī hai chahl hai aur har taraf haiñ qahqahe
haiñ ye bulbul is chaman ke kar rahe haiñ chahchahe
dil meñ jazba hai javāñ ho kar sabhī aage baḌheñ
azm hai ye jān-o-dil se des kī ḳhidmat kareñ
amn-o-āzādī kā ham paiġhām duniyā ko sunā.eñ
des kī apne baḌā.ī apne kāmoñ se dikhā.eñ
farz apnā ham kareñ dil se adā aur jaan se
ho vafādārī hamārī apne hindostān se
ek ik bachcha ga.ī ho ilm kā charchā baḌhe
ek ik bachcha dhanī ho des kī sevā kare
ek ik bachcha rahe baḌh chaḌh ke gun aur gyaan meñ
ik se ik baḌh kar dikhā.e aap ko vigyān meñ
aao 'nayyar' des ke bachchoñ kī jhurmuT meñ tum aao
aao aao nazm āzādī kī bachchoñ ko sunāo
aao sab na.ara lagā.eñ zindabād hindostān
aao ham sab mil ke gaa.eñ zindabād hindostān
zindabād hindostān
zindabād
aaj hum sab shad hain apna watan aazad hai
hum hain bulbul jis chaman ke wo chaman aazad hai
aaj aazadi ka din hai aao hum KHushiyan manaen
nach aazadi ka nachen git aazadi ke gaen
thi ghaTa chhai hui andher ki wo chhaT gai
tegh-e-azadi se zanjir-e-ghulami kaT gai
aaj wo din hai hui thi desh ki janta ki jit
aaj hi ke din chali thi is mein aazadi ki rit
aaj wo din hai tarane aish ke ishrat ke gaen
aaj wo din hai ki tanen mil ke KHushiyon ki uDaen
qaum jo aazad hai duniya mein izzat us ki hai
aan us ki shan us ki aur azmat us ki hai
desh ke bachche bhi KHush hain kyon na ho in ki KHushi
khil gai hai phul ban kar aaj har dil ki kali
dil lagi hai chahl hai aur har taraf hain qahqahe
hain ye bulbul is chaman ke kar rahe hain chahchahe
dil mein jazba hai jawan ho kar sabhi aage baDhen
azm hai ye jaan-o-dil se des ki KHidmat karen
amn-o-azadi ka hum paigham duniya ko sunaen
des ki apne baDai apne kaamon se dikhaen
farz apna hum karen dil se ada aur jaan se
ho wafadari hamari apne hindostan se
ek ek bachcha gai ho ilm ka charcha baDhe
ek ek bachcha dhani ho des ki sewa kare
ek ek bachcha rahe baDh chaDh ke gun aur gyan mein
ek se ek baDh kar dikhae aap ko wigyan mein
aao 'nayyar' des ke bachchon ki jhurmuT mein tum aao
aao aao nazm aazadi ki bachchon ko sunao
aao sab nara lagaen zindabaad hindostan
aao hum sab mil ke gaen zindabaad hindostan
zindabaad hindostan
zindabaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.