aazadi ka git
des huā āzād hamārā ghar ghar diip jalā.eñge
mil kar jashn manāeñge ham giit ḳhushī ke gā.eñge
apne baaġh ke maalī ham haiñ ham hī ḳhud rakhvāle haiñ
na.e nirāle phūloñ se ham phulvārī mahkā.eñge
bhuuk ġharībī aur be-kārī duur kareñge bhārat se
des ke kone kone meñ ham ḳhush-hālī phailā.eñge
tan man ke sab rog miTā kar duur kareñge bīmārī
des ke rahne vāloñ ko ham sehat-mand banā.eñge
diin dharm ke naam pe jhagḌā koī na hone pā.egā
diin dharm kī sachchī bāteñ insāñ ko samjhā.eñge
amn kī devī ke haiñ pujārī amn ke ham parchārak haiñ
amn sandesa le kar sāthī nagar nagar ham jā.eñge
des hua aazad hamara ghar ghar dip jalaenge
mil kar jashn manaenge hum git KHushi ke gaenge
apne bagh ke mali hum hain hum hi KHud rakhwale hain
nae nirale phulon se hum phulwari mahkaenge
bhuk gharibi aur be-kari dur karenge bhaarat se
des ke kone kone mein hum KHush-haali phailaenge
tan man ke sab rog miTa kar dur karenge bimari
des ke rahne walon ko hum sehat-mand banaenge
din dharm ke nam pe jhagDa koi na hone paega
din dharm ki sachchi baaten insan ko samjhaenge
amn ki dewi ke hain pujari amn ke hum parchaarak hain
amn sandesa le kar sathi nagar nagar hum jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.