aazadi ka mahall-e-waqu-1
maiñ bāhar se āzād nahīñ
andar se huuñ
ḳhvāb meñ
is se zyāda
maiñ ḳhvāb kī āzādī
apne andar lā kar
us kī soch jiitā huuñ
chāhtā huuñ
use bāhar lā kar
us kī zindagī jiinā
agar ḳhvāb kī
vāqiyat farz kar lī jaa.e
merī āzādī vaaq.e ho chukī
merī āzādī vaaq.e ho chukī
maiñ apnī āzādī meñ
vaaq.e nahīñ huā
merī āzādī vaaq.e ho chukī
maiñ us kā mahall-e-vaqū
tabdīl karnā chāhtā huuñ
use apne ird-gard
basānā chāhtā huuñ
mohabbat ḳhvāb se bāhar talak
rasta banā saktī hai
āzādī meñ vaaq.e hone ke liye
āzādī meñ vaaq.e hone ke liye
hameñ apne ḳhvāb
aapas meñ bāñdh lene chāhiyeñ
main bahar se aazad nahin
andar se hun
KHwab mein
is se zyaada
main KHwab ki aazadi
apne andar la kar
us ki soch jita hun
chahta hun
use bahar la kar
us ki zindagi jina
agar KHwab ki
waqiyat farz kar li jae
meri aazadi waqe ho chuki
meri aazadi waqe ho chuki
main apni aazadi mein
waqe nahin hua
meri aazadi waqe ho chuki
main us ka mahall-e-waqu
tabdil karna chahta hun
use apne ird-gard
basana chahta hun
mohabbat KHwab se bahar talak
rasta bana sakti hai
aazadi mein waqe hone ke liye
aazadi mein waqe hone ke liye
hamein apne KHwab
aapas mein bandh lene chahiyen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.