aazadi ki umang
jhiil kināre
aksar shaam ko dekhā kartā
niil gagan par
uḌte gaate
chhoTī chhoTī
ujlī kaalī
niilī piilī
chiḌiyoñ kā dal vāpas jaate
kaash ki
maiñ bhī panchhī hotā
apne sāthī laḌkoñ ke sañg
āzādī se
idhar udhar maiñ ghūmtā phirtā
is dhartī ke chāroñ jānib
jaise niil gagan par uḌtā
chiḌiyoñ kā ik jhunD
jhil kinare
aksar sham ko dekha karta
nil gagan par
uDte gate
chhoTi chhoTi
ujli kali
nili pili
chiDiyon ka dal wapas jate
kash ki
main bhi panchhi hota
apne sathi laDkon ke sang
aazadi se
idhar udhar main ghumta phirta
is dharti ke chaaron jaanib
jaise nil gagan par uDta
chiDiyon ka ek jhunD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.