aazadi se nindon tak
zindagī kī chaTTānoñ se
sazāoñ kā samundar Takrātā hai
aur safed chaTTāneñ samundar kī kaalī kar dene vaalī tāqat se be-ḳhabar
ḳhvāboñ ke ġhurūr se labrez haiñ
paanī chaTTānoñ meñ rāste banātā rahtā hai
aur aise meñ koī nahīñ jāntā
ham āzādī ke jog meñ
tanhā.ī ke kis kis jañgal meñ bhaTke haiñ
āzādī ke libās ko apnā badan samajh kar
vahshī sannāToñ kī aamad se be-ḳhabar
ham kahāñ kahāñ bhaTke haiñ
aur jab libās phaT jaate haiñ
ham in chiThḌoñ ko apne be-libās tanhā.iyoñ meñ
yuuñ chhupā lete haiñ
jaise zinda maañ kī āñkheñ murda bachche kī āḳhirī dīdār ko chhupā letī haiñ
to aise meñ samundar sailāb ho jaatā hai
aur safed chaTTāneñ
sazāoñ meñ dafn
apne alāva sab kuchh bhuul jaane par majbūr ho jaatī haiñ
ham sailāb meñ na bahe jaane kā dukh liye
nīndoñ tak aa jaate haiñ
aur ham chaTTānoñ se guzarne vaale paanī ke rāste band nahīñ kar sakte to
hañs dete haiñ
aur nīndoñ kī bhiik jam.a karte karte
vahshī sannāToñ kī aamad ke haul meñ
ham sonā bhuul jaate haiñ
zindagi ki chaTTanon se
sazaon ka samundar Takraata hai
aur safed chaTTanen samundar ki kali kar dene wali taqat se be-KHabar
KHwabon ke ghurur se labrez hain
pani chaTTanon mein raste banata rahta hai
aur aise mein koi nahin jaanta
hum aazadi ke jog mein
tanhai ke kis kis jangal mein bhaTke hain
aazadi ke libas ko apna badan samajh kar
wahshi sannaTon ki aamad se be-KHabar
hum kahan kahan bhaTke hain
aur jab libas phaT jate hain
hum in chiThDon ko apne be-libas tanhaiyon mein
yun chhupa lete hain
jaise zinda man ki aankhen murda bachche ki aaKHiri didar ko chhupa leti hain
to aise mein samundar sailab ho jata hai
aur safed chaTTanen
sazaon mein dafn
apne alawa sab kuchh bhul jaane par majbur ho jati hain
hum sailab mein na bahe jaane ka dukh liye
nindon tak aa jate hain
aur hum chaTTanon se guzarne wale pani ke raste band nahin kar sakte to
hans dete hain
aur nindon ki bhik jama karte karte
wahshi sannaTon ki aamad ke haul mein
hum sona bhul jate hain
- Book : Andekhi Lahren(rekhta website) (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.