aazadi
vo din thā baḌā hī tārīḳhī jab ham ko milī thī āzādī
is jañg meñ shāmil the kitne 'āzād' 'javāhar' aur gāñdhī
pañdrah ye august jo aa pahuñchā maġhrib se najāt ham ne paa.ī
TūTīñ zanjīr ġhulāmī kī kitnī ye mubārak saa.at thī
is din ko manā.eñ ḳhushiyoñ se aur sah rañge ko lahrā.eñ
un vīroñ ko ham yaad kareñ jin kī mehnat bar aa.ī thī
jannat se hai baḌh kar āzādī har saa.at apnī saa.at hai
kashmīr se kannyā kumārī tak masrūr huī hai har vaadī
us kī ḳhātir jo vaqt paḌe ham apnī jaan luTā deñge
hai faḳhr hameñ āzād haiñ ham 'abrār' hai ne.amat āzādī
wo din tha baDa hi tariKHi jab hum ko mili thi aazadi
is jang mein shamil the kitne 'azad' 'jawahar' aur gandhi
pandrah ye august jo aa pahuncha maghrib se najat hum ne pai
TuTin zanjir ghulami ki kitni ye mubarak saat thi
is din ko manaen KHushiyon se aur sah range ko lahraen
un wiron ko hum yaad karen jin ki mehnat bar aai thi
jannat se hai baDh kar aazadi har saat apni saat hai
kashmir se kannya kumari tak masrur hui hai har wadi
us ki KHatir jo waqt paDe hum apni jaan luTa denge
hai faKHr hamein aazad hain hum 'abrar' hai neamat aazadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.