aazar
kyā ḳhabar thī ye tire phuul se bhī nāzuk hoñT
zahr meñ Dūbeñge kumhlā.eñge murjhā.eñge
kis ko ma.alūm thā ye hashr tirī āñkhoñ kā
nuur ke sote bhī tārīkī meñ kho jā.eñge
terī ḳhāmosh vafāoñ kā sila kyā hogā
mere nā-karda gunāhoñ kī sazā kyā hogī
qahqahe hoñge ki ashkoñ kī tarannum-rezī
dil-e-vahshī tire jiine kī adā kyā hogī
koī uljhā huā naġhma koī suljhā huā giit
kaun jaane lab-e-shā.er kī navā kyā hogī
haañ magar dil hai ki dhaḌke hī chalā jaatā hai
is se baḌh kar koī tauhīn-e-vafā kyā hogī
aur ye shor garajte hue tūfānoñ kā
ek sailāb sisakte hue insānoñ kā
har taraf saikḌoñ bal khātī dhuveñ kī lahreñ
har taraf Dher jhulaste hue armānoñ kā
zindagī aur bhī kuchh ḳhvār huī jaatī hai
ab to jo saañs hai āzār huī jaatī hai
kya KHabar thi ye tere phul se bhi nazuk honT
zahr mein Dubenge kumhlaenge murjhaenge
kis ko malum tha ye hashr teri aankhon ka
nur ke sote bhi tariki mein kho jaenge
teri KHamosh wafaon ka sila kya hoga
mere na-karda gunahon ki saza kya hogi
qahqahe honge ki ashkon ki tarannum-rezi
dil-e-wahshi tere jine ki ada kya hogi
koi uljha hua naghma koi suljha hua git
kaun jaane lab-e-shaer ki nawa kya hogi
han magar dil hai ki dhaDke hi chala jata hai
is se baDh kar koi tauhin-e-wafa kya hogi
aur ye shor garajte hue tufanon ka
ek sailab sisakte hue insanon ka
har taraf saikDon bal khati dhuwen ki lahren
har taraf Dher jhulaste hue armanon ka
zindagi aur bhi kuchh KHwar hui jati hai
ab to jo sans hai aazar hui jati hai
- Book : Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.