ab aur tab
Interesting Fact
(This poem was written by Syed Mohammad Jafari when he re-entered the Government College Lahore to do MA in English Literature)
na pūchh ai ham-nashīñ college meñ aa kar ham ne kyā dekhā
zamīñ badlī huī dekhī falak badlā huā dekhā
na vo pahlī sī mahfil hai na miinā hai na saaqī hai
kutub-ḳhāne meñ lekin ab talak talvār baaqī hai
vahī talvār jo bābar ke vaqtoñ kī nishānī hai
vahī marhūm bābar yaad jis kī ġhair faanī hai
zamīñ par lecturer kuchh tairte phirte nazar aa.e
aur un kī ''gaun'' se kandhoñ pe do shahpar nazar aa.e
magar in meñ mire ustād-e-derīna bahut kam the
jo do ik the bhī vo masrūf-e-sad-afkār-e-paiham the
vo ziine hī meñ Takrāne kī hasrat rah ga.ī dil meñ
sunā one-way traffic ho ga.ī uupar kī manzil meñ
agarche āj-kal college meñ vāqif haiñ hamāre kam
hameñ dīvār-o-dar pahchānte haiñ aur un ko ham
bulandī par alag sab se khaḌā ''tower'' ye kahtā hai
badaltā hai zamāna merā andāz ek rahtā hai
fanā ta.alīm dars-e-be-ḳhudī huuñ is zamāne se
ki majnūñ laam alif likhtā thā dīvār-e-dabistāñ par
magar ''tower'' kī saa.at ke bhī baazū ḳhuub chalte haiñ
kabūtar baiTh kar sūiyoñ pe vaqt us kā badalte haiñ
usī mālik ko phir halve kī dāvat par bulāte haiñ
vo halva ḳhuub khāte haiñ use bhī kuchh khilāte haiñ
agar vo ye kahe is meñ to zahrīlī davā.ī hai
mirā dil jāntā hai is meñ anDe kī miThā.ī hai
phir is ke ba.ad bahr-e-ḳhud-kushī tayyār hote haiñ
vo halva biich meñ aur gard us ke yaar hote haiñ
vo pūchhe gar kahāñ se kis tarah aayā hai ye halva
to Dabbā pesh kar ke kah diyā is kā hai sab jalva
kisī kanjūs ke kamre meñ jā kar baiTh jaate haiñ
aur us ke naam par Tuk shaap se chīzeñ mañgāte haiñ
bichāra 'ja.afarī' muddat ke ba.ad aayā hai college meñ
izāfa chāhtā hai apnī añgrezī kī knowledge meñ
tire siine pe jab yārā-n-ḳhush aa.eñ kī mahfil ho
to ai 'oval' use mat bhuul jaanā vo bhī shāmil ho
na puchh ai ham-nashin college mein aa kar hum ne kya dekha
zamin badli hui dekhi falak badla hua dekha
na wo pahli si mahfil hai na mina hai na saqi hai
kutub-KHane mein lekin ab talak talwar baqi hai
wahi talwar jo babar ke waqton ki nishani hai
wahi marhum babar yaad jis ki ghair fani hai
zamin par lecturer kuchh tairte phirte nazar aae
aur un ki gaun se kandhon pe do shahpar nazar aae
magar in mein mere ustad-e-derina bahut kam the
jo do ek the bhi wo masruf-e-sad-afkar-e-paiham the
wo zine hi mein Takrane ki hasrat rah gai dil mein
suna one-way traffic ho gai upar ki manzil mein
agarche aaj-kal college mein waqif hain hamare kam
hamein diwar-o-dar pahchante hain aur un ko hum
bulandi par alag sab se khaDa tower ye kahta hai
badalta hai zamana mera andaz ek rahta hai
fana talim dars-e-be-KHudi hun is zamane se
ki majnun lam alif likhta tha diwar-e-dabistan par
magar tower ki saat ke bhi bazu KHub chalte hain
kabutar baiTh kar suiyon pe waqt us ka badalte hain
usi malik ko phir halwe ki dawat par bulate hain
wo halwa KHub khate hain use bhi kuchh khilate hain
agar wo ye kahe is mein to zahrili dawai hai
mera dil jaanta hai is mein anDe ki miThai hai
phir is ke baad bahr-e-KHud-kushi tayyar hote hain
wo halwa bich mein aur gard us ke yar hote hain
wo puchhe gar kahan se kis tarah aaya hai ye halwa
to Dabba pesh kar ke kah diya is ka hai sab jalwa
kisi kanjus ke kamre mein ja kar baiTh jate hain
aur us ke nam par Tuk shap se chizen mangate hain
bichaara 'jafari' muddat ke baad aaya hai college mein
izafa chahta hai apni angrezi ki knowledge mein
tere sine pe jab yara-n-KHush aaen ki mahfil ho
to ai 'owal' use mat bhul jaana wo bhi shamil ho
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 118)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.