ab Dar nahin lagta
ek Dar thā tanhā.ī kā
ek Dar thā judā.ī kā
jo musalsal mere saath rahtā thā
kal kā din jo guzar gayā
bahut bhārī lagtā thā
lagtā thā kisī aise din kā bojh uThā na pā.ūñgī
ādhe-adhūre rāste meñ hī mar jā.ūñgī
magar kal kā din bhī aa hī gayā
aur ret kā vo gharauñdā saath hī bahā le gayā
jis meñ rakhe the maiñ ne
rañg-ba-rañg ke pyāre patthar
titliyoñ ke par aur mor ke pañkh
phūloñ ke sab rañg
aur āsmān kī dhanak
gilahrī kā adh khāyā aḳhroT
maañ ke paroñ tale baiThe murġhābī ke bachche
us gharauñde par utrī dhuup jis ne mujh se merā saaya judā kar diyā thā
kal jab vo sab be-rahm vaqt kī maujoñ ke saath bah gayā
aur chār-sū qabr jaisā añdherā phail gayā
to safed dhuup jaate jaate ek ehsān kar ga.ī
vo mujh ko merā saaya lauTā ga.ī
aur maiñ marte marte bach ga.ī varna
maiñ to aise kal meñ mar hī jaatī
āvāzoñ ke bichhaḌne se
ek Dar tha tanhai ka
ek Dar tha judai ka
jo musalsal mere sath rahta tha
kal ka din jo guzar gaya
bahut bhaari lagta tha
lagta tha kisi aise din ka bojh uTha na paungi
aadhe-adhure raste mein hi mar jaungi
magar kal ka din bhi aa hi gaya
aur ret ka wo gharaunda sath hi baha le gaya
jis mein rakhe the main ne
rang-ba-rang ke pyare patthar
titliyon ke par aur mor ke pankh
phulon ke sab rang
aur aasman ki dhanak
gilahri ka adh khaya aKHroT
man ke paron tale baiThe murghabi ke bachche
us gharaunde par utri dhup jis ne mujh se mera saya juda kar diya tha
kal jab wo sab be-rahm waqt ki maujon ke sath bah gaya
aur chaar-su qabr jaisa andhera phail gaya
to safed dhup jate jate ek ehsan kar gai
wo mujh ko mera saya lauTa gai
aur main marte marte bach gai warna
main to aise kal mein mar hi jati
aawazon ke bichhaDne se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.