havā kā ta.āqub kabhī chāñd kī chāñdnī ko pakaḌne kī ḳhvāhish
kabhī sub.h ke hoñT chhūne kī hasrat
kabhī raat kī zulf ko gūñdhne kī tamannā
kabhī jism ke qahr kī mad.h-ḳhvānī
kabhī ruuh kī be-kasī kī kahānī
kabhī jāgne kī havas ko jagānā
kabhī niiñd ke band darvāze ko khaTkhaTānā
kabhī sirf āñkheñ hī āñkheñ haiñ aur kuchh nahīñ hai
kabhī kaan haiñ haath haiñ aur zabāñ hai
kabhī sirf lab haiñ
diloñ ke dhaḌakne ke andāz
ab ke baras kuchh ajab haiñ
hawa ka taaqub kabhi chand ki chandni ko pakaDne ki KHwahish
kabhi subh ke honT chhune ki hasrat
kabhi raat ki zulf ko gundhne ki tamanna
kabhi jism ke qahr ki madh-KHwani
kabhi ruh ki be-kasi ki kahani
kabhi jagne ki hawas ko jagana
kabhi nind ke band darwaze ko khaTkhaTana
kabhi sirf aankhen hi aankhen hain aur kuchh nahin hai
kabhi kan hain hath hain aur zaban hai
kabhi sirf lab hain
dilon ke dhaDakne ke andaz
ab ke baras kuchh ajab hain
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 108)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.