ab KHub hansega diwana
Interesting Fact
Commenting upon the Nazm, 'Ab Khub Hansega diwana', the critics stated that the poet must be reasoning his way through the poem. Well, I did not abide by this condition while bringing this poem on paper on the night between 2nd August and 1st September. Given the consequences of the World War II, many of my eloquent friends considered this Nazm to be full of subtle meanings, I, knowing the truth, doubt their understanding of this Nazm.
(1)
garm-joshī
ab sūraj sar par aa dhamkegā
ThanDā lohā chamkegā
aur dhuup javāñ ho jā.egī
saThiyā.e hue farzānoñ par
ab ziist girāñ ho jā.egī
har asl ayaañ ho jā.egī
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab aag bagūle nācheñge
sab lañgḌe luule nācheñge
girdāb-e-balā ban jā.eñge
roñdī huī miTTī ke zarre
tūfān-ba-pā ban jā.eñge
sahrā dariyā ban jā.eñge
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab sustī jaal bichhā.egī
ab dhoñs na chalne pā.egī
mazdūroñ aur kisānoñ par
ab sūkhā ḳhuun nichoḌne vaale
ro.eñge nuqsānoñ par
in khetoñ in khaliyānoñ par
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab piilī dhaat kī bīmārī
phailā na sakeñge biyopārī
lohe kā lohā māneñge
sone kī gahrī kānoñ meñ
so jaanā behtar jāneñge
dar dar kī ḳhaak na chhāneñge
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab ḳhuun ke sāgar kholeñge
insān ke jauhar kholeñge
chaḌh jā.egī tap sahrāoñ ko
uTThegī umaD kar laal āñdhī
pī jā.egī dariyāoñ ko
bāñdhegā tund havāoñ ko
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
har zulf se bichchhū lapkeñge
āñkhoñ se sharāre Tapkeñge
sayyādoñ husn-shikāroñ par
ġhusse kā pasīna phūTegā
motī ban kar ruḳhsāroñ par
is dhuup meñ chāñd sitāroñ par
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab duudh na deñgī bhaiñseñ gaa.eñ
uf uf karne lageñgī maa.eñ
bachche mam mam chīḳheñge
aur ūñghne vaale nikhTū shauhar
''aql-e-mujassam'' chīḳheñge
sab darham-barham chīḳheñge
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab ḳhānqahoñ kī murda udāsī
roz-e-azal kī bhūkī pyāsī
jhūmegī mai-ḳhānoñ par
ab saaqī muġhche pīr-e-muġhāñ
becheñge va.az dukānoñ par
in zahr bhare paimānoñ par
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
zor-āvarī se kamzoroñ kī
ab jeb kaTegī choroñ kī
aur manDī sāhū-kāroñ kī
ab bhūkī ''hū-haq'' sair karegī
manDiyoñ aur bāzāroñ kī
gat dekh ke duniyā-dāroñ kī
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
jiinā dil gurda DhūñDegā
har zinda ''murda'' DhūñDegā
koī konā-khadrā tah-ḳhāna
ab har jañgal meñ mañgal hogā
har bastī meñ vīrāna
ik na.ara lagā kar mastāna
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
(2)
sard-mehrī
ab jaaḌā jhanDe gāḌegā
aur fīl-e-falak chiñghāḌegā
ab bādal shor machā.eñge
ab bhuut falak par chaḌh dauḌeñge
dhartī ko dahlā.eñge
hañsne ke maze ab ā.eñge
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
aivān kareñge bhā.eñ bhā.eñ
phūñs kī jhoñpaḌiyoñ meñ havā.eñ
saa.eñ saa.eñ gūñjeñgī
is guuñj meñ bhūke nañgoñ kī
sunsān sadā.eñ gūñjeñgī
vīrān sarā.eñ gūñjeñgī
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab bijlī ke koḌoñ se havā
shamshīr-ba-kaf zanjīr-ba-pā
lohe ke rathoñ ko hāñkeñge
ek ek dhueñ ke mahmil se
sad husn kī malika jhāñkegī
ab aag añgāre phāñkegī
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab ThanDī aahoñ ke parnāle
paale aafat ke par kaale
kande tole barseñge
ab aahan ThanDā paḌ jā.egā
aahan ke gole barseñge
har sar par ole barseñge
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
taḳhrīb kī topeñ chhūTeñgī
ta.amīr kī kaliyāñ phūTeñgī
har goristān-e-shāhī meñ
bālā-e-havā zer-e-dariyā
ġhul hogā murġh o maahī meñ
is nau-ābād tabāhī meñ
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab nāgin bāñbī garmā.egī
saañp kī laalī lahrā.egī
kaale ātish-dānoñ meñ
dānā.iyāñ keñchulī badleñgī
shahroñ ke bandī-ḳhānoñ meñ
aur duur khule maidānoñ meñ
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
bhus ḳhālī peT meñ bhar na sakegā
koī tijārat kar na sakegā
sukḌī sukḌī khāloñ kī
ab mañDh bhī jaa.e to baj na sakegī
naubat paise vāloñ kī
bekārī par dallāloñ kī
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab daal na jāgīroñ kī galegī
aag magar din raat jalegī
chamḌe ke tannūroñ meñ
ab kaal paḌegā ġhalle kā
beyopāriyoñ be-maqdūroñ meñ
aur peT bhare mazdūroñ meñ
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
ab gāḌhā pasīna bunñe vaale
oḌhe phireñge shaal do-shāle
muft na jhūleñ jhūleñgī
phūle hue gaal ab pachkeñge
pichkī huī toñdeñ phūleñgī
sab aqleñ chaukḌī bhūleñgī
ab ḳhuub hañsegā dīvāna
(1)
garm-joshi
ab suraj sar par aa dhamkega
ThanDa loha chamkega
aur dhup jawan ho jaegi
saThiyae hue farzanon par
ab zist giran ho jaegi
har asl ayan ho jaegi
ab KHub hansega diwana
ab aag bagule nachenge
sab langDe lule nachenge
girdab-e-bala ban jaenge
rondi hui miTTi ke zarre
tufan-ba-pa ban jaenge
sahra dariya ban jaenge
ab KHub hansega diwana
ab susti jal bichhaegi
ab dhons na chalne paegi
mazduron aur kisanon par
ab sukha KHun nichoDne wale
roenge nuqsanon par
in kheton in khaliyanon par
ab KHub hansega diwana
ab pili dhat ki bimari
phaila na sakenge biyopari
lohe ka loha manenge
sone ki gahri kanon mein
so jaana behtar jaanenge
dar dar ki KHak na chhanenge
ab KHub hansega diwana
ab KHun ke sagar kholenge
insan ke jauhar kholenge
chaDh jaegi tap sahraon ko
uTThegi umaD kar lal aandhi
pi jaegi dariyaon ko
bandhega tund hawaon ko
ab KHub hansega diwana
har zulf se bichchhu lapkenge
aankhon se sharare Tapkenge
sayyaadon husn-shikaron par
ghusse ka pasina phuTega
moti ban kar ruKHsaron par
is dhup mein chand sitaron par
ab KHub hansega diwana
ab dudh na dengi bhainsen gaen
uf uf karne lagengi maen
bachche mam mam chiKHenge
aur unghne wale nikhTu shauhar
aql-e-mujassam chiKHenge
sab darham-barham chiKHenge
ab KHub hansega diwana
ab KHanqahon ki murda udasi
roz-e-azal ki bhuki pyasi
jhumegi mai-KHanon par
ab saqi mughche pir-e-mughan
bechenge waz dukanon par
in zahr bhare paimanon par
ab KHub hansega diwana
zor-awari se kamzoron ki
ab jeb kaTegi choron ki
aur manDi sahu-karon ki
ab bhuki hu-haq sair karegi
manDiyon aur bazaron ki
gat dekh ke duniya-daron ki
ab KHub hansega diwana
jina dil gurda DhunDega
har zinda murda DhunDega
koi kona-khadra tah-KHana
ab har jangal mein mangal hoga
har basti mein virana
ek nara laga kar mastana
ab KHub hansega diwana
(2)
sard-mehri
ab jaDa jhanDe gaDega
aur fil-e-falak chinghaDega
ab baadal shor machaenge
ab bhut falak par chaDh dauDenge
dharti ko dahlaenge
hansne ke maze ab aaenge
ab KHub hansega diwana
aiwan karenge bhaen bhaen
phuns ki jhonpaDiyon mein hawaen
saen saen gunjengi
is gunj mein bhuke nangon ki
sunsan sadaen gunjengi
viran saraen gunjengi
ab KHub hansega diwana
ab bijli ke koDon se hawa
shamshir-ba-kaf zanjir-ba-pa
lohe ke rathon ko hankenge
ek ek dhuen ke mahmil se
sad husn ki malika jhankegi
ab aag angare phankegi
ab KHub hansega diwana
ab ThanDi aahon ke parnale
pale aafat ke par kale
kande tole barsenge
ab aahan ThanDa paD jaega
aahan ke gole barsenge
har sar par ole barsenge
ab KHub hansega diwana
taKHrib ki topen chhuTengi
tamir ki kaliyan phuTengi
har goristan-e-shahi mein
baala-e-hawa zer-e-dariya
ghul hoga murgh o mahi mein
is nau-abaad tabahi mein
ab KHub hansega diwana
ab nagin banbi garmaegi
sanp ki lali lahraegi
kale aatish-danon mein
danaiyan kenchuli badlengi
shahron ke bandi-KHanon mein
aur dur khule maidanon mein
ab KHub hansega diwana
bhus KHali peT mein bhar na sakega
koi tijarat kar na sakega
sukDi sukDi khaalon ki
ab manDh bhi jae to baj na sakegi
naubat paise walon ki
bekari par dallalon ki
ab KHub hansega diwana
ab dal na jagiron ki galegi
aag magar din raat jalegi
chamDe ke tannuron mein
ab kal paDega ghalle ka
beyopariyon be-maqduron mein
aur peT bhare mazduron mein
ab KHub hansega diwana
ab gaDha pasina bunne wale
oDhe phirenge shaal do-shaale
muft na jhulen jhulengi
phule hue gal ab pachkenge
pichki hui tonden phulengi
sab aqlen chaukDi bhulengi
ab KHub hansega diwana
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 531-536)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.