ab kya karun
chhā ga.ī barsāt kī pahlī ghaTā ab kyā karūñ
ḳhauf thā jis kā vo aa pahuñchī balā ab kyā karūñ
hijr ko bahlā chalī thī garm mausam kī sumūm
nā-gahāñ chalne lagī ThanDī havā ab kyā karūñ
aañkh uThī hī thī ki abr-e-lāla-gūñ kī chhāñv meñ
dard se kahne lagā kuchh jhuTpuTā ab kyā karūñ
ashk abhī thamne na paa.e the ki bedardī ke saath
būñdiyoñ se bostāñ bajne lagā ab kyā karūñ
zaḳhm ab bharne na paa.e the ki bādal charḳh par
aa gayā añgḌā.iyāñ letā huā ab kyā karūñ
aa chukī thī niiñd sī ġham ko ki mausam nā-gahāñ
bahr-o-bar meñ karvaTeñ lene lagā ab kyā karūñ
charḳh kī be-rañgiyoñ se sust thī raftār-e-ġham
yak-ba-yak har zarra gulshan ban gayā ab kyā karūñ
qufl-e-bāb-e-shauq thiiñ māhaul kī ḳhāmoshiyāñ
daf.atan kāfir papīhā bol uThā ab kyā karūñ
hijr kā siine meñ kuchh kam ho chalā thā pech-o-tāb
baal bikhrāne lagī kaalī ghaTā ab kyā karūñ
aañkh jhapkāne lagī thī dil meñ yād-e-lahn-e-yād
mor kī aane lagī ban se sadā ab kyā karūñ
ghaT chalā thā ġham kī rañgīñ badliyoñ kī aaḌ se
un kā chehra sāmne aane lagā ab kyā karūñ
aa rahī haiñ abr se un kī sadā.eñ 'josh' 'josh'
ai ḳhudā ab kyā karūñ bār-e-ḳhudā ab kyā karūñ
chha gai barsat ki pahli ghaTa ab kya karun
KHauf tha jis ka wo aa pahunchi bala ab kya karun
hijr ko bahla chali thi garm mausam ki sumum
na-gahan chalne lagi ThanDi hawa ab kya karun
aankh uThi hi thi ki abr-e-lala-gun ki chhanw mein
dard se kahne laga kuchh jhuTpuTa ab kya karun
ashk abhi thamne na pae the ki bedardi ke sath
bundiyon se bostan bajne laga ab kya karun
zaKHm ab bharne na pae the ki baadal charKH par
aa gaya angDaiyan leta hua ab kya karun
aa chuki thi nind si gham ko ki mausam na-gahan
bahr-o-bar mein karwaTen lene laga ab kya karun
charKH ki be-rangiyon se sust thi raftar-e-gham
yak-ba-yak har zarra gulshan ban gaya ab kya karun
qufl-e-bab-e-shauq thin mahaul ki KHamoshiyan
dafatan kafir papiha bol uTha ab kya karun
hijr ka sine mein kuchh kam ho chala tha pech-o-tab
baal bikhrane lagi kali ghaTa ab kya karun
aankh jhapkane lagi thi dil mein yaad-e-lahn-e-yaad
mor ki aane lagi ban se sada ab kya karun
ghaT chala tha gham ki rangin badliyon ki aaD se
un ka chehra samne aane laga ab kya karun
aa rahi hain abr se un ki sadaen 'josh' 'josh'
ai KHuda ab kya karun bar-e-KHuda ab kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.