ab main use yaad bana dena chahta hun
maiñ us kī āñkhoñ ko dekhtā rahtā huuñ
magar merī samajh meñ kuchh nahīñ aatā
maiñ us kī bātoñ ko suntā rahtā huuñ
magar merī samajh meñ kuchh nahīñ aatā
ab agar vo kabhī mujh se mile
to maiñ us se baat nahīñ karūñgā
us kī taraf dekhūñgā bhī nahīñ
maiñ koshish karūñgā
merā dil kahīñ aur mubtalā ho jaa.e
ab maiñ use yaad banā denā chāhtā huuñ
main us ki aankhon ko dekhta rahta hun
magar meri samajh mein kuchh nahin aata
main us ki baaton ko sunta rahta hun
magar meri samajh mein kuchh nahin aata
ab agar wo kabhi mujh se mile
to main us se baat nahin karunga
us ki taraf dekhunga bhi nahin
main koshish karunga
mera dil kahin aur mubtala ho jae
ab main use yaad bana dena chahta hun
- Book : chhe rangi darwaze (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.