ab samajh mein aaya hai
ab samajh meñ aayā hai
'umr rā.egāñ kar ke
ḳhud se pūchhtā huuñ ab
jab vaqt thā samajhne kā
kyoñ samajh nahīñ aayā
rāsta ġhalat thā vo
kaash maiñ rukā hotā
pūchh hī liyā hotā
pūchh hī nahīñ paayā
kārvāñ ġhalat thā vo
koī to batā detā
kārvāñ vo ḳhud gum thā
mujh ko kyā patā detā
kaun aasrā detā
aañkh dekhtī to thī
par sarāb dikhte the
kaan gūñjte to the
kuchh nahīñ vo sunte the
dil ko thā magar mā'lūm
rāsta jo apnā thā
ḳhud-kushī kā rasta thā
ḳhud ko mārne par dil
tul gayā thā aise hī
kaash dil batā detā
kaash maiñ rukā hotā
ab samajh mein aaya hai
'umr raegan kar ke
KHud se puchhta hun ab
jab waqt tha samajhne ka
kyon samajh nahin aaya
rasta ghalat tha wo
kash main ruka hota
puchh hi liya hota
puchh hi nahin paya
karwan ghalat tha wo
koi to bata deta
karwan wo KHud gum tha
mujh ko kya pata deta
kaun aasra deta
aankh dekhti to thi
par sarab dikhte the
kan gunjte to the
kuchh nahin wo sunte the
dil ko tha magar ma'lum
rasta jo apna tha
KHud-kushi ka rasta tha
KHud ko marne par dil
tul gaya tha aise hi
kash dil bata deta
kash main ruka hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.