abad
ye kaisī lazzat se jism shal ho rahā hai merā
ye kyā mazā hai ki jis se hai uzv uzv bojhal
ye kaif kyā hai ki saañs ruk ruk ke aa rahā hai
ye merī āñkhoñ meñ kaise shahvat-bhare añdhere utar rahe haiñ
lahū ke gumbad meñ koī dar hai ki vā huā hai
ye chhūTtī nabz, ruktī dhaḌkan, ye hichkiyāñ sī
gulāb o kāfūr kī lapaT tez ho ga.ī hai
ye ābnūsī badan, ye bāzū, kushāda siina
mire lahū meñ simaTtā sayyāl ek nukte pe aa gayā hai
mirī naseñ aane vaale lamhe ke dhyān se khiñch ke rah ga.ī haiñ
bas ab to sarkā do ruḳh pe chādar
diye bujhā do
ye kaisi lazzat se jism shal ho raha hai mera
ye kya maza hai ki jis se hai uzw uzw bojhal
ye kaif kya hai ki sans ruk ruk ke aa raha hai
ye meri aankhon mein kaise shahwat-bhare andhere utar rahe hain
lahu ke gumbad mein koi dar hai ki wa hua hai
ye chhuTti nabz, rukti dhaDkan, ye hichkiyan si
gulab o kafur ki lapaT tez ho gai hai
ye aabnusi badan, ye bazu, kushada sina
mere lahu mein simaTta sayyal ek nukte pe aa gaya hai
meri nasen aane wale lamhe ke dhyan se khinch ke rah gai hain
bas ab to sarka do ruKH pe chadar
diye bujha do
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 101)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.