maiñ udaas logoñ se
jitnī baar miltā huuñ
un se pūchh letā huuñ
un ke dukh kā kāran bhī
sab alag batāte haiñ
par shiven kahtā hai
ik hī dukh hai duniyā meñ
chhoḌ diye jaane kā
maan luuñ agar ye maiñ
to jinhoñ ne chhoḌā thā
vo to ḳhush hī hoñge ab
par vo ḳhush nahīñ milte
vo bhī chhūT jaate haiñ
dukh se TuuT jaate haiñ
main udas logon se
jitni bar milta hun
un se puchh leta hun
un ke dukh ka karan bhi
sab alag batate hain
par shiwen kahta hai
ek hi dukh hai duniya mein
chhoD diye jaane ka
man lun agar ye main
to jinhon ne chhoDa tha
wo to KHush hi honge ab
par wo KHush nahin milte
wo bhi chhuT jate hain
dukh se TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.