abba ka chaaliswan
būḌhe ġharīb baap ke marne pe daf.atan
beTe ne sochā kaise karūñ dafn aur kafan
apne yahāñ to maut meñ ḳharche kā hai chalan
ġham se niDhāl beTe ke māthe pe thī shikan
jo kuchh thā paas dafn-o-kafan meñ uThā diyā
ḳharche ne phir to maut kā sadma bhulā diyā
karnā paḌā jo dafan kā tā-sub.h intizār
mayyat ke paas chaltī rahī chaa.e baar baar
aur maut meñ jo aa.e the bairūnī rishta-dār
chaa.e se un kī toḌā gayā niiñd kā ḳhumār
aur is ke ba.ad chaltā jo phir pandān hai
lagtā hai sogvār nahīñ mezbān hai
purse ko sub.h shaam phir aate haiñ rishta-dār
khānā nahīñ to chaa.e kam-az-kam ho ek baar
chaa.e ke saath vaa.e meñ ḳharche haiñ be-shumār
murde ko chhoḌ ḳharche ko rotā hai sogvār
tiije ke ba.ad dasvāñ hai phir bīsvāñ bhī hai
phir chand roz ba.ad hī chālīsvāñ bhī hai
har roz fātiha ke liye gosht chāhiye
sālan bhī sirf ek nahīñ do pakā.iye
nazr-o-niyāz ke liye halva banā.iye
phir roz aane vāloñ ko chaa.e pilā.iye
beTā bichāra dab gayā qarze ke baar se
barsoñ tak ab chhuḌā.egā pīchhā udhār ke
phir is ke ba.ad bāteñ banātī haiñ aurteñ
kyā kyā kamī rahī ye batātī haiñ aurteñ
chālīsvāñ kuchh aise karātī haiñ aurteñ
farmā.ishoñ ke Dher lagātī haiñ aurteñ
is tarah maut ko bhī tamāsha banā diyā
vo e'tirāz uThā.e kaleja hilā diyā
beTe ne naam kar diyā raushan jahān meñ
aisī kisī ne maut na kī ḳhāndān meñ
chālīsvāñ kuchh aisā kiyā ān-bān meñ
zevar bahū kā bik gayā masnūī shaan meñ
vo maut kī ki kumbe meñ Dañkā bajā diyā
chālīsveñ pe shahr ko khānā khilā diyā
buDhe gharib bap ke marne pe dafatan
beTe ne socha kaise karun dafn aur kafan
apne yahan to maut mein KHarche ka hai chalan
gham se niDhaal beTe ke mathe pe thi shikan
jo kuchh tha pas dafn-o-kafan mein uTha diya
KHarche ne phir to maut ka sadma bhula diya
karna paDa jo dafan ka ta-subh intizar
mayyat ke pas chalti rahi chae bar bar
aur maut mein jo aae the bairuni rishta-dar
chae se un ki toDa gaya nind ka KHumar
aur is ke baad chalta jo phir pandan hai
lagta hai sogwar nahin mezban hai
purse ko subh sham phir aate hain rishta-dar
khana nahin to chae kam-az-kam ho ek bar
chae ke sath wae mein KHarche hain be-shumar
murde ko chhoD KHarche ko rota hai sogwar
tije ke baad daswan hai phir biswan bhi hai
phir chand roz baad hi chaaliswan bhi hai
har roz fatiha ke liye gosht chahiye
salan bhi sirf ek nahin do pakaiye
nazr-o-niyaz ke liye halwa banaiye
phir roz aane walon ko chae pilaiye
beTa bichaara dab gaya qarze ke bar se
barson tak ab chhuDaega pichha udhaar ke
phir is ke baad baaten banati hain aurten
kya kya kami rahi ye batati hain aurten
chaaliswan kuchh aise karaati hain aurten
farmaishon ke Dher lagati hain aurten
is tarah maut ko bhi tamasha bana diya
wo e'tiraaz uThae kaleja hila diya
beTe ne nam kar diya raushan jahan mein
aisi kisi ne maut na ki KHandan mein
chaaliswan kuchh aisa kiya aan-ban mein
zewar bahu ka bik gaya masnui shan mein
wo maut ki ki kumbe mein Danka baja diya
chaaliswen pe shahr ko khana khila diya
- Book : Post Martum (Pg. 57)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.