abba ke nam
is lamhe
ki tum mere saath ho
ḳhudā mere nazdīk hai
maiñ us ke qadmoñ par sar rakh detā huuñ
apnī kamyoñ, bad-nasīboñ aur be-vaqūfiyoñ ko bhuul kar
us ke shafqat bhare hāthoñ kā lams
apnī piiTh par mahsūs kartā huuñ
dekhte dekhte
harā-bharā daraḳht ban jaatā huuñ
jaise
meñ ek nahīñ, ka.ī zindagī jī rahā huuñ
jaise
maiñ ek nahī, ka.ī ashiyā meñ badal gayā huuñ
chhoTe se chhoTe zarre meñ
kā.enāt kī kā.enāt sarsarātī hai
tamām rāste
mujhe apnī taraf aate hue dikhā.ī dete haiñ
lagtā hai
thoḌī der ke liye zamīn ruk ga.ī hai
logoñ ne
apnī nafrateñ
apnī jeboñ meñ bhar lī haiñ
aur mujhe
ḳhush-āmdīd kah rahe haiñ
is lamhe
ki tum mere sath ho
KHuda mere nazdik hai
main us ke qadmon par sar rakh deta hun
apni kamyon, bad-nasibon aur be-waqufiyon ko bhul kar
us ke shafqat bhare hathon ka lams
apni piTh par mahsus karta hun
dekhte dekhte
hara-bhara daraKHt ban jata hun
jaise
mein ek nahin, kai zindagi ji raha hun
jaise
main ek nahi, kai ashiya mein badal gaya hun
chhoTe se chhoTe zarre mein
kaenat ki kaenat sarsaraati hai
tamam raste
mujhe apni taraf aate hue dikhai dete hain
lagta hai
thoDi der ke liye zamin ruk gai hai
logon ne
apni nafraten
apni jebon mein bhar li hain
aur mujhe
KHush-amdid kah rahe hain
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 220)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.