abbu ki yaad mein
ab rahā kaun mujhe aas dilāne vaalā
ghup añdheroñ meñ diyā ghar kā jalāne vaalā
ḳhvāb-e-ġhaflat se jo bedār kiyā kartā thā
so gayā aaj vo kyoñ mujh ko jagāne vaalā
jab ki manzil kī tajassus meñ thā gumrāh-e-safar
chal diyā chhoḌ ke kyoñ raah dikhāne vaalā
ruuTh jaane kā ravayya ye munāsib to na thā
ruuTh kyoñ mujh se gayā mujh ko manāne vaalā
phir vo 'ḳhurshīd' mirī ruuh ke andar chamke
kyoñ chalā jaatā hai har naaz uThāne vaalā
ab raha kaun mujhe aas dilane wala
ghup andheron mein diya ghar ka jalane wala
KHwab-e-ghaflat se jo bedar kiya karta tha
so gaya aaj wo kyon mujh ko jagane wala
jab ki manzil ki tajassus mein tha gumrah-e-safar
chal diya chhoD ke kyon rah dikhane wala
ruTh jaane ka rawayya ye munasib to na tha
ruTh kyon mujh se gaya mujh ko manane wala
phir wo 'KHurshid' meri ruh ke andar chamke
kyon chala jata hai har naz uThane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.