abdiyat
aur phir donoñ fānūs siine ke bujh jā.eñge
oḌh legī dhuāñ
duudh kī dhaar kī tarah ujlī nazar
nāḳhun-e-pā se zulfoñ ke bādal talak
jagmagātī huī khaal se
ḳhvāhishoñ ke pur-asrār mahmil talak
ek tahrīr likhegī dīmak
fanā
har taraf be-hisī
tīrgī tīrgī
haañ magar sirf ruḳhsār o lab
sirf ruḳhsār o lab raakh meñ daabī chiñgāriyoñ kī tarah
jagmagā.eñge
un par mire aur tire garm bosoñ kī tahrīr hai
zindagī
aur phir
vaqt kī lamha lamha ubhartī huī saḳht dīvār gir jā.egī
aur apne badan
aur māmūlī nāmoñ meñ tahlīl ho jā.eñge
nuur kā peḌ ban jā.eñge
aane vaale na.e mausamoñ kī havā
ho ke shāḳhoñ se guzregī aur
āsmānī sadāoñ meñ gaayā huā
ek lā-fānī o be-karāñ giit gūñjegā
aur gūñjtā hī rahegā sadā
aur gūñjtā hī rahegā sadā
aur phir donon fanus sine ke bujh jaenge
oDh legi dhuan
dudh ki dhaar ki tarah ujli nazar
naKHun-e-pa se zulfon ke baadal talak
jagmagati hui khaal se
KHwahishon ke pur-asrar mahmil talak
ek tahrir likhegi dimak
fana
har taraf be-hisi
tirgi tirgi
han magar sirf ruKHsar o lab
sirf ruKHsar o lab rakh mein dabi chingariyon ki tarah
jagmagaenge
un par mere aur tere garm boson ki tahrir hai
zindagi
aur phir
waqt ki lamha lamha ubharti hui saKHt diwar gir jaegi
aur apne badan
aur mamuli namon mein tahlil ho jaenge
nur ka peD ban jaenge
aane wale nae mausamon ki hawa
ho ke shaKHon se guzregi aur
aasmani sadaon mein gaya hua
ek la-fani o be-karan git gunjega
aur gunjta hi rahega sada
aur gunjta hi rahega sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.