kifayat shiari
jo chāhte ho ki tum bā-vaqār ban ke raho
to zindagī meñ kifāyat shi.ār ban ke raho
diyā hai rab ne to be-shak tum us ko ḳharch karo
magar ba-qadr-e-zarūrat ho be-hisāb na ho
har ek shai ko baratne kā ik tarīqa hai
is tarah se kifāyat bhī ik salīqa hai
vo chāhe tel ho bijlī ho yā ki paanī ho
na koī chiiz ho zaa.e.a samajh ke sarf karo
jo shaah ḳharch the duniyā meñ vo zalīl hue
jo jānte the kifāyat vo ḳhud-kafīl hue
burā na mānñā bachcho mirī nasīhat kā
tumhīñ ko bojh uThānā hai mulk-o-millat kā
jo chahte ho ki tum ba-waqar ban ke raho
to zindagi mein kifayat shiar ban ke raho
diya hai rab ne to be-shak tum us ko KHarch karo
magar ba-qadr-e-zarurat ho be-hisab na ho
har ek shai ko baratne ka ek tariqa hai
is tarah se kifayat bhi ek saliqa hai
wo chahe tel ho bijli ho ya ki pani ho
na koi chiz ho zaea samajh ke sarf karo
jo shah KHarch the duniya mein wo zalil hue
jo jaante the kifayat wo KHud-kafil hue
bura na manna bachcho meri nasihat ka
tumhin ko bojh uThana hai mulk-o-millat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.