abhi bhuk se ek chuha mara hai
muravvat hai dil meñ na pās-e-vafā hai
na tirchhī haiñ nazreñ na bāñkī adā hai
javānī musībat buḌhāpā balā hai
laḌakpan ko dekho to murjhā gayā hai
girānī se duniyā ko bāvar huā hai
ki apne zamāne kā hāfiz ḳhudā hai
na maTke meñ aaTā na Dibboñ meñ dāleñ
batā.e koī log kis ko pakā leñ
ye farmān hākim hai kis tarah Tāleñ
kahā hai ġharīboñ se añgūr khā leñ
patīlī hai ḳhālī vahāñ kyā dharā hai
abhī bhuuk se ek chuhā marā hai
namak par musībat masāloñ pe aafat
qayāmat hai īñdhan pe dāloñ pe aafat
baḌā gosht mahñgā piyāloñ pe aafat
girānī huī jiine vāloñ pe aafat
bachā hai to aafat se baniyā bachā hai
sar-e-ām sab kī girah kāTtā hai
sunātā huuñ kapḌoñ kī uryāñ kahānī
miyāñ bhaav par aa ga.ī hai javānī
dukāñ meñ ga.e to hue āñ-jahānī
guzarne lagā hai mire sar se paanī
ki khaddar bhī mahñgā bahut ho chukā hai
rebate us pe das fīsadī rah gayā hai
na kapḌā na roTī na loTā na dhotī
pareshāñ hai potā bilaktī hai potī
ki qīmat meñ gandum kā daana hai motī
ye mumkin nahīñ thā vilādat na hotī
har ik samt koh-e-nidā chīḳhtā hai
jo paidā huā mubtalā-e-balā hai
zamāna pareshāñ hai mahñgā.iyāñ haiñ
pareshāñ hasīnoñ kī añgḌā.iyāñ haiñ
na sehre na mehñdī na shahnā.iyāñ haiñ
dukāñ-dār lekin baḌe kā.iyāñ haiñ
jo ration meñ paayā mayassar huā hai
na jaane is aaTe meñ kyā kyā milā hai
murawwat hai dil mein na pas-e-wafa hai
na tirchhi hain nazren na banki ada hai
jawani musibat buDhapa bala hai
laDakpan ko dekho to murjha gaya hai
girani se duniya ko bawar hua hai
ki apne zamane ka hafiz KHuda hai
na maTke mein aaTa na Dibbon mein dalen
batae koi log kis ko paka len
ye farman hakim hai kis tarah Talen
kaha hai gharibon se angur kha len
patili hai KHali wahan kya dhara hai
abhi bhuk se ek chuha mara hai
namak par musibat masalon pe aafat
qayamat hai indhan pe dalon pe aafat
baDa gosht mahnga piyalon pe aafat
girani hui jine walon pe aafat
bacha hai to aafat se baniya bacha hai
sar-e-am sab ki girah kaTta hai
sunata hun kapDon ki uryan kahani
miyan bhaw par aa gai hai jawani
dukan mein gae to hue aan-jahani
guzarne laga hai mere sar se pani
ki khaddar bhi mahnga bahut ho chuka hai
rebate us pe das fisadi rah gaya hai
na kapDa na roTi na loTa na dhoti
pareshan hai pota bilakti hai poti
ki qimat mein gandum ka dana hai moti
ye mumkin nahin tha wiladat na hoti
har ek samt koh-e-nida chiKHta hai
jo paida hua mubtala-e-bala hai
zamana pareshan hai mahngaiyan hain
pareshan hasinon ki angDaiyan hain
na sehre na mehndi na shahnaiyan hain
dukan-dar lekin baDe kaiyan hain
jo ration mein paya mayassar hua hai
na jaane is aaTe mein kya kya mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.