abhi kuchh din lagenge
abhī kuchh din lageñge
A FEW MORE DAYS
dil aise shahr ke pāmāl ho jaane kā manzar bhūlne meñ
abhī kuchh din lageñge
jahān-e-rañg ke saare ḳhas-o-ḳhāshāk sab sarv-o-sanobar bhūlne meñ abhī kuchh din lageñge
thake haare hue ḳhvāboñ ke sāhil par kahīñ ummīd kā chhoTā sā ik ghar
bante bante rah gayā hai
vo ik ghar bhūlne meñ abhī kuchh din lageñge
magar ab din bhī kitne rah ga.e haiñ
bas ik din dil kī lauh-e-muntazir par
āchānak
raat utregī
mirī be-nūr āñkhoñ ke ḳhazāne meñ chhupe har ḳhvāb kī takmīl kar degī
mujhe bhī ḳhvāb meñ tabdīl kar degī
ik aisā ḳhvāb jas kā dekhnā mumkin nahīñ thā
ik aisā ḳhvāb jis ke dāman-e-sad-chāk meñ koī mubārak koī raushan din nahīñ thā
abhī kuchh din lageñge
A few more days,
To forget the sight of the trampled
city of the heart,
A few more days,
To forget the soaring trees
the dry dusty grasses
of the colour-borne world,
On the shores of weary dreams,
Hope had almost built its little home,
A few more days, to forget that home...
abhi kuchh din lagenge
A FEW MORE DAYS
dil aise shahr ke pamal ho jaane ka manzar bhulne mein
abhi kuchh din lagenge
jahan-e-rang ke sare KHas-o-KHashak sab sarw-o-sanobar bhulne mein abhi kuchh din lagenge
thake haare hue KHwabon ke sahil par kahin ummid ka chhoTa sa ek ghar
bante bante rah gaya hai
wo ek ghar bhulne mein abhi kuchh din lagenge
magar ab din bhi kitne rah gae hain
bas ek din dil ki lauh-e-muntazir par
aachanak
raat utregi
meri be-nur aankhon ke KHazane mein chhupe har KHwab ki takmil kar degi
mujhe bhi KHwab mein tabdil kar degi
ek aisa KHwab jas ka dekhna mumkin nahin tha
ek aisa KHwab jis ke daman-e-sad-chaak mein koi mubarak koi raushan din nahin tha
abhi kuchh din lagenge
A few more days,
To forget the sight of the trampled
city of the heart,
A few more days,
To forget the soaring trees
the dry dusty grasses
of the colour-borne world,
On the shores of weary dreams,
Hope had almost built its little home,
A few more days, to forget that home...
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.