abhi kuchh din lagenge
abhī kuchh din lageñge ḳhvāb ko ta.abīr hone meñ
kisī ke dil meñ apne naam kī sham.a jalāne meñ
kisī ke shahr ko daryāft karne meñ
kisī anmol saa.at meñ kisī nārāz sāthī ko zarā sā paas laane meñ
abhī kuchh din lageñge
dard kā parcham banāne meñ
purāne zaḳhm pe marham lagāne meñ
mohabbat kī kavitā ko havā ke ruḳh pe laane meñ
purānī nafratoñ ko bhuul jaane meñ
abhī kuchh din lageñge
raat kī dīvār meñ ik dar banāne meñ
muqaddar meñ lagī ik gāñTh ko āzād karne meñ
na.e kuchh marhale tasḳhīr karne meñ
mire 'ġhālib', mire 'tagore' ko apnā banāne meñ
abhī kuchh din lageñge
dasht meñ phūloñ kā gul-dasta sajāne meñ
abhī kuchh din lageñge
magar ye din ziyāda to nahīñ hoñge
bas ik mausam kī duurī par
kahīñ ham tum mileñge
bas ik saa.at kī nazdīkī meñ
bāham mashvare hoñge
bas ik guzre hue kal se pare
ham paas baiTheñge
bahut sā daras sah leñge
bahut sī baat kar leñge!
abhi kuchh din lagenge KHwab ko tabir hone mein
kisi ke dil mein apne nam ki shama jalane mein
kisi ke shahr ko daryaft karne mein
kisi anmol saat mein kisi naraaz sathi ko zara sa pas lane mein
abhi kuchh din lagenge
dard ka parcham banane mein
purane zaKHm pe marham lagane mein
mohabbat ki kawita ko hawa ke ruKH pe lane mein
purani nafraton ko bhul jaane mein
abhi kuchh din lagenge
raat ki diwar mein ek dar banane mein
muqaddar mein lagi ek ganTh ko aazad karne mein
nae kuchh marhale tasKHir karne mein
mere 'ghaalib', mere 'tagore' ko apna banane mein
abhi kuchh din lagenge
dasht mein phulon ka gul-dasta sajaane mein
abhi kuchh din lagenge
magar ye din ziyaada to nahin honge
bas ek mausam ki duri par
kahin hum tum milenge
bas ek saat ki nazdiki mein
baham mashware honge
bas ek guzre hue kal se pare
hum pas baiThenge
bahut sa daras sah lenge
bahut si baat kar lenge!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.