abhi mujhse kisi ko mohabbat nahin hui
abhī mujh se kisī ko mohabbat nahīñ huī
so dil ke baaġh meñ phuul bhī nahīñ khile
mujhe har aurat ke siine par pistān
aur rānoñ ke biich qaus nazar aatī hai
abhī mohabbat shurūa nahīñ huī
maiñ har ham-bistarī ke ba.ad bezār ho jaatā huuñ
aur phir se us kaam ke liye tayār ho jaatā huuñ
maiñ pistānoñ aur rānoñ meñ
mohabbat talāsh karne ke kār-e-be-sūd meñ masrūf huuñ
mohabbat ke mausam tak
ishrat ke raste jaayā jā saktā
to maiñ kab kā pahuñch gayā hotā
nazar kartā huuñ to lagtā hai
zindagī se kuchh aur bhī duur nikal aayā huuñ
mujhe maut se Dar lagne lagā hai
kyūñki abhī mujh se kisī ko mohabbat nahīñ huī
qatl-e-ām jaarī hai
agle paḌāv tak
kār-e-mohabbat mauqūf kar diyā gayā hai
qismat ko kāġhaz ke TukḌoñ
aur bārūd se munsalik kar diyā gayā hai
ābādī kā mas.ala darpesh hai
mohabbat ko kisī fāriġh vaqt par uThā diyā gayā hai
bahār aane tak
ye mausam to tai karnā paḌegā
abhi mujh se kisi ko mohabbat nahin hui
so dil ke bagh mein phul bhi nahin khile
mujhe har aurat ke sine par pistan
aur ranon ke bich qaus nazar aati hai
abhi mohabbat shurua nahin hui
main har ham-bistari ke baad bezar ho jata hun
aur phir se us kaam ke liye tayar ho jata hun
main pistanon aur ranon mein
mohabbat talash karne ke kar-e-be-sud mein masruf hun
mohabbat ke mausam tak
ishrat ke raste jaya ja sakta
to main kab ka pahunch gaya hota
nazar karta hun to lagta hai
zindagi se kuchh aur bhi dur nikal aaya hun
mujhe maut se Dar lagne laga hai
kyunki abhi mujh se kisi ko mohabbat nahin hui
qatl-e-am jari hai
agle paDaw tak
kar-e-mohabbat mauquf kar diya gaya hai
qismat ko kaghaz ke TukDon
aur barud se munsalik kar diya gaya hai
aabaadi ka masala darpesh hai
mohabbat ko kisi farigh waqt par uTha diya gaya hai
bahaar aane tak
ye mausam to tai karna paDega
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 75)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.