abhi uski zarurat thi
Interesting Fact
On Faiz's death
saf-e-mātam bichhī hai
suḳhan kā āḳhirī dar band hone kī ḳhabar ne
khiḌkiyoñ ke paar baiThe ġhamgusāroñ ko
ye kaisī chup lagā dī hai
ye kis kī nā-gahānī maut par sargoshiyoñ kī aag raushan hai
kisī ke kunj-e-lab se koī taarā mere dil par aan paḌtā hai
burā ho maut kā jis ne mire fariyād-ras kī jaan le lī hai
abhī us kī zarūrat thī
maiñ is duniyā ke ik goshe meñ baiThā sochtā huuñ
aaj is vīrān mañDlī meñ
maiñ kis ko pursa dene ke liye aayā huuñ
mujh ko ta.aziyat to ḳhud se karnā thī
abhī is ghar se ik mayyat sidhārī hai
dam-e-ruḳhsat
kisī ne nik.hat-e-zulf-e-pareshāñ kā nahīñ pūchā
kisī ne dukh ke andar raushnī kī chhab nahīñ dekhī
makāñ se phūTne vaalī ravish par
ek bachcha ro rahā hai
aaj us ke āñ.suoñ ko kaun poñchhegā
ki us ke saath jo shatranj kī baazī lagātā thā
vo ab zer-e-zamīñ ik chādar-e-sāda kī ḳhushbū hai
yahāñ sub.heñ bhī ā.eñgī
yahāñ shāmeñ bhī utreñgī
magar ik hichkiyāñ letā huā bachcha
charāġh-e-ārzū ban kar
sar-e-tāq-e-lahad gūñgī zamīñ kī lab-kushā.ī tak pukāre gā
burā ho maut kā jis ne mire fariyād-ras kī jaan le lī hai
saf-e-matam bichhi hai
suKHan ka aaKHiri dar band hone ki KHabar ne
khiDkiyon ke par baiThe ghamgusaron ko
ye kaisi chup laga di hai
ye kis ki na-gahani maut par sargoshiyon ki aag raushan hai
kisi ke kunj-e-lab se koi tara mere dil par aan paDta hai
bura ho maut ka jis ne mere fariyaad-ras ki jaan le li hai
abhi us ki zarurat thi
main is duniya ke ek goshe mein baiTha sochta hun
aaj is viran manDli mein
main kis ko pursa dene ke liye aaya hun
mujh ko taziyat to KHud se karna thi
abhi is ghar se ek mayyat sidhaari hai
dam-e-ruKHsat
kisi ne nikhat-e-zulf-e-pareshan ka nahin pucha
kisi ne dukh ke andar raushni ki chhab nahin dekhi
makan se phuTne wali rawish par
ek bachcha ro raha hai
aaj us ke aansuon ko kaun ponchhega
ki us ke sath jo shatranj ki bazi lagata tha
wo ab zer-e-zamin ek chadar-e-sada ki KHushbu hai
yahan subhen bhi aaengi
yahan shamen bhi utrengi
magar ek hichkiyan leta hua bachcha
charagh-e-arzu ban kar
sar-e-taq-e-lahad gungi zamin ki lab-kushai tak pukare ga
bura ho maut ka jis ne mere fariyaad-ras ki jaan le li hai
- Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 156)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.