abjad
kisī gum-shuda rah-e-rā.egānī kī sā.atoñ ke ġhubār meñ
maiñ chhupā rahā
kisī dīda-e-ashk-bār meñ
merā aks shāmil na ho sakā
kisī gauhar-e-āb-dār meñ
mirī ḳhvāb ḳhvāb sī ḳhvāhisheñ
mire ḳhaar ḳhaar se rat-jage
mire ā.inoñ kī shikastagī
mirī bebasī
rahī ek lamhe kī muntazir
jo na aa sakā
jo na aa.egā
yūñhī umr bhar jo rulā.egā
yūñhī umr bhar jo rulā.egā
kisi gum-shuda rah-e-raegani ki saaton ke ghubar mein
main chhupa raha
kisi dida-e-ashk-bar mein
mera aks shamil na ho saka
kisi gauhar-e-ab-dar mein
meri KHwab KHwab si KHwahishen
mere KHar KHar se rat-jage
mere aainon ki shikastagi
meri bebasi
rahi ek lamhe ki muntazir
jo na aa saka
jo na aaega
yunhi umr bhar jo rulaega
yunhi umr bhar jo rulaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.