abu-talib ke beTe
jabīn-e-vaqt par likkhī huī sachchā.iyāñ raushan rahī haiñ
tā-abad raushan raheñgī
ḳhudā shāhid hai aur vo zaat shāhid hai ki jo vaj.h-e-asās-e-anafas-o-āfāq hai
aur ḳhair kī tārīḳh kā vo bāb-e-avval hai
abad tak jis kā faizān-e-karam jaarī rahegā
yaqīñ ke āgahī ke raushnī ke qāfile har daur meñ aate rahe haiñ
tā-abad aate raheñge
abū-tālib ke beTe hifz-e-nāmūs-e-risālat kī rivāyat ke amiiñ the
jaan denā jānte the
vo muslim hoñ ki vo abbās hoñ aun o mohamād hoñ alī-akbar hoñ qāsim hoñ alī-asġhar hoñ
haq pahchānte the
lashkar-e-bātil ko kab gardānte the
abū-tālib ke beTe sar-burīda ho ke bhī ailān-e-haq karte rahe haiñ
abū-tālib ke beTe pā-ba-jaulāñ ho ke bhī ailān-e-haq karte rahe haiñ
abū-tālib ke beTe sarf-e-zindāñ ho ke bhī ailān-e-haq karte rahe haiñ
madīna ho najaf ho karbalā ho kāzimain o sāmira ho mash.had o baġhdād ho
āl-e-abū-tālib ke qadmoñ ke nishāñ
insāniyat ko us kī manzil kā pata dete rahe haiñ tā-abad dete raheñge
abū-tālib ke beToñ aur ġhulmān-e-alī-ibn-e-abī-tālib meñ ik nisbat rahī hai
mohabbat kī ye nisbat umar bhar qaa.em rahegī
tā-abad qaa.em rahegī
jabin-e-waqt par likkhi hui sachchaiyan raushan rahi hain
ta-abad raushan rahengi
KHuda shahid hai aur wo zat shahid hai ki jo wajh-e-asas-e-anafas-o-afaq hai
aur KHair ki tariKH ka wo bab-e-awwal hai
abad tak jis ka faizan-e-karam jari rahega
yaqin ke aagahi ke raushni ke qafile har daur mein aate rahe hain
ta-abad aate rahenge
abu-talib ke beTe hifz-e-namus-e-risalat ki riwayat ke amin the
jaan dena jaante the
wo muslim hon ki wo abbas hon aun o mohamad hon ali-akbar hon qasim hon ali-asghar hon
haq pahchante the
lashkar-e-baatil ko kab gardante the
abu-talib ke beTe sar-burida ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain
abu-talib ke beTe pa-ba-jaulan ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain
abu-talib ke beTe sarf-e-zindan ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain
madina ho najaf ho karbala ho kazimain o samira ho mashhad o baghdad ho
aal-e-abu-talib ke qadmon ke nishan
insaniyat ko us ki manzil ka pata dete rahe hain ta-abad dete rahenge
abu-talib ke beTon aur ghulman-e-ali-ibn-e-abi-talib mein ek nisbat rahi hai
mohabbat ki ye nisbat umar bhar qaem rahegi
ta-abad qaem rahegi
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 119)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.