accident
Interesting Fact
(Naqsh, Karachi, May-June 1973)
mujh se roz yahī kahtā hai pakkī saḌak par vo kaalā sā daaġh jo kuchh din pahle
surḳh lahū kā thā ik chhīñTā chiknā giilā chamkīlā chamkīlā
miTTī us pe girī aur mailī sī ik pīḌhī us par se utrī
aur phir sindūrī sā ik ḳhāka ubhrā
jo ab pakkī saḌak par kaalā sā dhabba hai
pisī huī bajrī meñ jazb aur jāmid an-miT
mujh se roz yahī kahtā hai pakkī saḌak par maslā huā vo daaġh lahū kā
maiñ ne to pahlī baar us din
apnī rañg-birañgī qāshoñ vaalī geñd ke pīchhe
yuuñ hī zarā ik jast-bharī thī
abhī to merā roġhan bhī kachchhā thā
kis ne uñDel diyā yuuñ mujh ko is miTTī par
uuñ uuñ maiñ nahīñ miTtā maiñ to huuñ ab bhī huuñ
maiñ ye sun kar Dar jaatā huuñ
kaalī bajrī ke roġhan meñ jiine vaale is ma.asūm lahū kī kaun sunegā
mamtā bik bhī chukī hai chand Takoñ meñ
qānūn āñkheñ mīche hue hai
qātil pahiye be-pahrā haiñ
mujh se roz yahi kahta hai pakki saDak par wo kala sa dagh jo kuchh din pahle
surKH lahu ka tha ek chhinTa chikna gila chamkila chamkila
miTTi us pe giri aur maili si ek piDhi us par se utri
aur phir sinduri sa ek KHaka ubhra
jo ab pakki saDak par kala sa dhabba hai
pisi hui bajri mein jazb aur jamid an-miT
mujh se roz yahi kahta hai pakki saDak par masla hua wo dagh lahu ka
main ne to pahli bar us din
apni rang-birangi qashon wali gend ke pichhe
yun hi zara ek jast-bhari thi
abhi to mera roghan bhi kachchha tha
kis ne unDel diya yun mujh ko is miTTi par
un un main nahin miTta main to hun ab bhi hun
main ye sun kar Dar jata hun
kali bajri ke roghan mein jine wale is masum lahu ki kaun sunega
mamta bik bhi chuki hai chand Takon mein
qanun aankhen miche hue hai
qatil pahiye be-pahra hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.