achaar ka martaban
tumhārī ammī ne apnī izzat ko martabānoñ meñ band kar ke
makāñ kī chhat se laTakte chhīñke meñ rakh diyā thā
tumhārī ammī ne bār-hā tum se ye kahā thā
''achār kachchā hai' tel kī bū miTī nahīñ hai
abhī na ye martabān kholo
havā agar bartanoñ meñ dāḳhil huī to ullī
tamām phāñkoñ kā naas kar degī''
tum magar soch meñ paḌī ho
''na jaane ammī ko kyā huā hai
achār kī phāñk hī to hai nā
na koī hīrā, na koī motī, na koī sone kī chiiz māñgī
na koī kapḌā na koī lattā na koī sāḌī''
tum apnī ma.asūm aur pyārī sī añkhḌiyoñ meñ
hazār shikve liye yūñhī sochtī rahogī
magar jo ek Dar tumhārī ammī kī aañkh meñ aa ke bas gayā hai
use kahāñ tum samajh sakogī
abhī to tum bachpane kī sarhad phalāñgne hī kī fikr meñ ho
abhī to tum meñDhiyāñ banātī ho, choTiyāñ kas ke bāñdhtī ho
kabhī kabhī tum saḌak pe jā kar jhagaḌte bachchoñ ko DāñTtī ho
to tum ko chunnī kā hosh hotā hai
aur na āñkhoñ meñ Dar kisī kā
agar kabhī tum zabān kā zā.iqa badalne kā soch hī lo
agar kabhī tum achār kā martabān nīche utaar hī lo
nazar bachā kar achār bāhar nikāl hī lo
to lamha bhar ke liye Thahar kar ye soch lenā
tumhārī ammī ne apnī izzat ko martabānoñ meñ band kar ke
makāñ kī chhat se laTakte chhīñke meñ rakh diyā thā
tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke
makan ki chhat se laTakte chhinke mein rakh diya tha
tumhaari ammi ne bar-ha tum se ye kaha tha
achaar kachcha hai' tel ki bu miTi nahin hai
abhi na ye martaban kholo
hawa agar bartanon mein daKHil hui to ulli
tamam phankon ka nas kar degi
tum magar soch mein paDi ho
na jaane ammi ko kya hua hai
achaar ki phank hi to hai na
na koi hira, na koi moti, na koi sone ki chiz mangi
na koi kapDa na koi latta na koi saDi
tum apni masum aur pyari si ankhDiyon mein
hazar shikwe liye yunhi sochti rahogi
magar jo ek Dar tumhaari ammi ki aankh mein aa ke bas gaya hai
use kahan tum samajh sakogi
abhi to tum bachpane ki sarhad phalangne hi ki fikr mein ho
abhi to tum meinDhiyan banati ho, choTiyan kas ke bandhti ho
kabhi kabhi tum saDak pe ja kar jhagaDte bachchon ko DanTti ho
to tum ko chunni ka hosh hota hai
aur na aankhon mein Dar kisi ka
agar kabhi tum zaban ka zaiqa badalne ka soch hi lo
agar kabhi tum achaar ka martaban niche utar hi lo
nazar bacha kar achaar bahar nikal hi lo
to lamha bhar ke liye Thahar kar ye soch lena
tumhaari ammi ne apni izzat ko martabanon mein band kar ke
makan ki chhat se laTakte chhinke mein rakh diya tha
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 106)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.