achchhi chiDiya
1
ek thī chiḌiyā
ek thā kavvā
ek thī mainā
ek thā totā
ek thī billī
ek thā kuttā
ek thī murġhī
ek thā bakrā
chiḌiyā kavvā
mainā totā
billī kuttā
murġhī bakrā
ye sab saath rahā karte the
dukh-sukh saath sahā karte the
2
achchhī chiḌiyā bholī bholī
ik din in sab se bolī
aao chal kar kaam kareñ kuchh
kaam kareñ kuchh naam kareñ kuchh
ḳhālī rah kar vaqt na kho.eñ
khet meñ chal kar gehūñ bo.eñ
jab ye sab gehūñ pak jaa.eñ
tab ham sab mil jal kar khā.eñ
3
chiḌiyā kī jab baat sunī ye
kavvā bolā maiñ nahīñ botā
mainā bolī maiñ nahīñ botī
totā bolā maiñ nahīñ botā
billī bolī maiñ nahīñ botī
kuttā bolā maiñ nahīñ botā
murġhī bolī maiñ nahīñ botī
bakrā bolā maiñ nahīñ botā
sab ne kahā jab ham nahīñ bote
chiḌiyā ne vo aap hī boyā
4
thoḌe dinoñ meñ vaqt vo aayā
khet ye gehūñ kā phal laayā
chiḌiyā bolī chal kar kāTeñ
gehūñ se ghar apnā pāTeñ
un sab ne jab kaam sunā ye
kavvā bolā mujh se na hogā
mainā bolī maiñ na karūñgī
totā bolā mujh se na hogā
billī bolī maiñ na karūñgī
kuttā bolā mujh se na hogā
murġhī bolī maiñ na karūñgī
bakrā bolā mujh se na hogā
jab na kisī ne kaam kiyā ye
chiḌiyā ne khet aap hī kaaTā
5
gehūñ ghar meñ kaaT ke Daale
phir sab se yuuñ bolī chiḌiyā
aao ye ham chakkī meñ pīseñ
pis kar ye ho jā.eñge aaTā
chakkī aur aaTe kī sun kar
un meñ se har ik ghabrāyā
sab se pahle kavvā bolā
aaTā ye mujh se na pisegā
mainā bolī totā bolā
aaTā ye mujh se na pisegā
mainā bolī totā bolā
aaTā ye ham se na pisegā
billī bolī kuttā bolā
aaTā ye ham se na pisegā
murġhī bolī bakrā bolā
aaTā ye ham se na pisegā
jab na kisī ne piisā aaTā
chiḌiyā ne vo aap hī piisā
6
saare gehūñ piis chukī vo
phir un se yuuñ bolī chiḌiyā
aao pakā.eñ mil kar roTī
kaam ye ho jaa.e to hai achchhā
baat ye sun kar kavvā bolā
mujh se nahīñ pak saktī ye roTī
mainā bolī totā bolā
ham se nahīñ pak saktī ye roTī
billī bolī kuttā bolā
ham se nahīñ pak saktī ye roTī
murġhī bolī bakrā bolā
ham se nahīñ pak saktī ye roTī
jab na kisī ne kaam kiyā ye
chiḌiyā ne roTī bhī pakā lī
7
roTī jab chiḌiyā ne pakā lī
pūchhā kaun ye khā.egā roTī
kavvā bolā maiñ khā.ūñgā
sab roTī chaT kar jā.ūñgā
mainā bolī maiñ khā.ūñgī
totā bolā maiñ khā.ūñgā
billī bolī maiñ khā.ūñgī
kuttā bolā maiñ khā.ūñgā
murġhī bolī maiñ khā.ūñgī
bakrā bolā maiñ khā.ūñgā
sab ne kahā ham khā.eñge roTī
saarī chaT kar jā.eñge roTī
dil meñ vo na zarā sharmā.e
jhaT-paT roTī khāne aa.e
8
ab to un se chiḌiyā bolī
roTī ye tum ko na milegī
kaam se tum sab ghabrāte ho
phir ye roTī kyoñ khāte ho
phir ye roTī kyoñ khāte ho
baat ye sun kar sab ghabrā.e
sab sharmā.e sab pachhtā.e
chiḌiyā aur sab us ke bachche
mil kar khānā khāne baiThe
sab ne mil kar khānā khāyā
sab ne mil kar gaanā gaayā
kaam kā phal chiḌiyā ne paayā
kaam ne in kā kaam banāyā
chāñd meñ baiThī taarā raanī
ai lo bachcho ḳhatm kahānī
1
ek thi chiDiya
ek tha kawwa
ek thi maina
ek tha tota
ek thi billi
ek tha kutta
ek thi murghi
ek tha bakra
chiDiya kawwa
maina tota
billi kutta
murghi bakra
ye sab sath raha karte the
dukh-sukh sath saha karte the
2
achchhi chiDiya bholi bholi
ek din in sab se boli
aao chal kar kaam karen kuchh
kaam karen kuchh nam karen kuchh
KHali rah kar waqt na khoen
khet mein chal kar gehun boen
jab ye sab gehun pak jaen
tab hum sab mil jal kar khaen
3
chiDiya ki jab baat suni ye
kawwa bola main nahin bota
maina boli main nahin boti
tota bola main nahin bota
billi boli main nahin boti
kutta bola main nahin bota
murghi boli main nahin boti
bakra bola main nahin bota
sab ne kaha jab hum nahin bote
chiDiya ne wo aap hi boya
4
thoDe dinon mein waqt wo aaya
khet ye gehun ka phal laya
chiDiya boli chal kar kaTen
gehun se ghar apna paTen
un sab ne jab kaam suna ye
kawwa bola mujh se na hoga
maina boli main na karungi
tota bola mujh se na hoga
billi boli main na karungi
kutta bola mujh se na hoga
murghi boli main na karungi
bakra bola mujh se na hoga
jab na kisi ne kaam kiya ye
chiDiya ne khet aap hi kaTa
5
gehun ghar mein kaT ke Dale
phir sab se yun boli chiDiya
aao ye hum chakki mein pisen
pis kar ye ho jaenge aaTa
chakki aur aaTe ki sun kar
un mein se har ek ghabraya
sab se pahle kawwa bola
aaTa ye mujh se na pisega
maina boli tota bola
aaTa ye mujh se na pisega
maina boli tota bola
aaTa ye hum se na pisega
billi boli kutta bola
aaTa ye hum se na pisega
murghi boli bakra bola
aaTa ye hum se na pisega
jab na kisi ne pisa aaTa
chiDiya ne wo aap hi pisa
6
sare gehun pis chuki wo
phir un se yun boli chiDiya
aao pakaen mil kar roTi
kaam ye ho jae to hai achchha
baat ye sun kar kawwa bola
mujh se nahin pak sakti ye roTi
maina boli tota bola
hum se nahin pak sakti ye roTi
billi boli kutta bola
hum se nahin pak sakti ye roTi
murghi boli bakra bola
hum se nahin pak sakti ye roTi
jab na kisi ne kaam kiya ye
chiDiya ne roTi bhi paka li
7
roTi jab chiDiya ne paka li
puchha kaun ye khaega roTi
kawwa bola main khaunga
sab roTi chaT kar jaunga
maina boli main khaungi
tota bola main khaunga
billi boli main khaungi
kutta bola main khaunga
murghi boli main khaungi
bakra bola main khaunga
sab ne kaha hum khaenge roTi
sari chaT kar jaenge roTi
dil mein wo na zara sharmae
jhaT-paT roTi khane aae
8
ab to un se chiDiya boli
roTi ye tum ko na milegi
kaam se tum sab ghabraate ho
phir ye roTi kyon khate ho
phir ye roTi kyon khate ho
baat ye sun kar sab ghabrae
sab sharmae sab pachhtae
chiDiya aur sab us ke bachche
mil kar khana khane baiThe
sab ne mil kar khana khaya
sab ne mil kar gana gaya
kaam ka phal chiDiya ne paya
kaam ne in ka kaam banaya
chand mein baiThi tara rani
ai lo bachcho KHatm kahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.