achchhi kitab
Interesting Fact
Zaban-o-Adab, Patna, April 2012
dostoñ meñ sab se achchhā dost hai achchhī kitāb
aa batā duuñ kaisī hotī hai 'atā' achchhī kitāb
har qadam par nek-o-bad kā farq batlātī hai ye
har qadam ko sīdhī-sachchī raah dikhlātī hai ye
dīn-o-duniyā kā hamesha ham ko detī hai sabaq
raushnī hī raushnī detā hai is kā har varaq
sīkhtī hai is se duniyā kāmrānī kā hunar
ye atā kartī hai sab ko zindagānī kā hunar
sahl ho jaatī haiñ is se vaqt kī bārīkiyāñ
duur kartī hai ye sab ke zehn kī tārīkiyāñ
zindagī ke imtihāñ meñ hausla detī hai ye
chāhne vāloñ ko ūñchā martaba detī hai ye
is kī sohbat se farozāñ aaj sham-e-e'tibār
is kī ulfat se daraḳhshāñ aaj husn-e-iḳhtiyār
zindagī paatī hai is se aap ḳhud apnī ḳhabar
zindagī paatī hai is se ik maqām-e-mo.atabar
baḳhshtī hai ye basārat aur basīrat bhī hameñ
taaki dikhlā.ī paḌe shai kī haqīqat bhī hameñ
ye hameñ batlātī hai ham kyā haiñ aur duniyā hai kyā
ye hameñ batlātī hai rab kaun hai uqbā hai kyā
is ke dāman meñ haiñ pinhāñ har zamāne ke uluum
is ke āñgan meñ haiñ raqsāñ chāñd sūraj aur nujūm
is ke jalve se huvaidā ma.arifat kī daulateñ
nuur se is ke huā insān kā irfāñ hameñ
is ke dam se ham pe vāzeh uqda-e-marg-o-hayāt
is ke dam se ham pe raushan hai jahān-e-kā.enāt
is qadar jāma.a mukammal haiñ 'atā' is kī sifāt
kab hai mumkin pesh karnā ai 'atā' is kī sifāt
doston mein sab se achchha dost hai achchhi kitab
aa bata dun kaisi hoti hai 'ata' achchhi kitab
har qadam par nek-o-bad ka farq batlati hai ye
har qadam ko sidhi-sachchi rah dikhlati hai ye
din-o-duniya ka hamesha hum ko deti hai sabaq
raushni hi raushni deta hai is ka har waraq
sikhti hai is se duniya kaamrani ka hunar
ye ata karti hai sab ko zindagani ka hunar
sahl ho jati hain is se waqt ki barikiyan
dur karti hai ye sab ke zehn ki tarikiyan
zindagi ke imtihan mein hausla deti hai ye
chahne walon ko uncha martaba deti hai ye
is ki sohbat se farozan aaj sham-e-e'tibar
is ki ulfat se daraKHshan aaj husn-e-iKHtiyar
zindagi pati hai is se aap KHud apni KHabar
zindagi pati hai is se ek maqam-e-moatabar
baKHshti hai ye basarat aur basirat bhi hamein
taki dikhlai paDe shai ki haqiqat bhi hamein
ye hamein batlati hai hum kya hain aur duniya hai kya
ye hamein batlati hai rab kaun hai uqba hai kya
is ke daman mein hain pinhan har zamane ke ulum
is ke aangan mein hain raqsan chand suraj aur nujum
is ke jalwe se huwaida marifat ki daulaten
nur se is ke hua insan ka irfan hamein
is ke dam se hum pe wazeh uqda-e-marg-o-hayat
is ke dam se hum pe raushan hai jahan-e-kaenat
is qadar jama mukammal hain 'ata' is ki sifat
kab hai mumkin pesh karna ai 'ata' is ki sifat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.