adakar chehre
yahāñ har taraf haiñ adākār chehre
maiñ rūdād dil kī kise kyā batā.ūñ
jo ḳhvāb-e-musalsal hī armāñ hai mirā
vahī ḳhvāb TuuTā vahī pyaar rūThā
manāzir ne rañg apne sab kho diye haiñ
vo jab se ḳhafā hai kise kyā batā.ūñ
zabāñ chup hai lekin sarāpā-bayāñ huuñ
ye dil kī lagī hai kise kyā batā.ūñ
yahan har taraf hain adakar chehre
main rudad dil ki kise kya bataun
jo KHwab-e-musalsal hi arman hai mera
wahi KHwab TuTa wahi pyar ruTha
manazir ne rang apne sab kho diye hain
wo jab se KHafa hai kise kya bataun
zaban chup hai lekin sarapa-bayan hun
ye dil ki lagi hai kise kya bataun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.