adakar
mire rāzdāñ
merī āñkhoñ meñ dekho
batāo mujhe kyā kahīñ ḳhauf hai
kyā kahīñ koī ḳhvāhish
machaltī huī pā-barahna milī
kyā mirī aañkh ke bāñkpan meñ
naqāhat to ubhrī nahīñ
mohabbat kā dhāgā jo uljhā huā hai
kahīñ us kī surḳhī to
āñkhoñ meñ dikhtī nahīñ
mire rāzdāñ
merī bātoñ ko socho batāo mujhe
kyā kahīñ in meñ taqdīr se
koī shikva bhī hai
koī doġhlā-pan
talaffuz kī ''ġhalatī
kahīñ nā-murādī kā be-vazn misra
shaqāvat tanaffur bharā koī jumla
agar aisā hai to batāo mujhe
mire Dna meñ
adākār lamhoñ kā paivand hai
mirā fan musalsal
hidāyāt hī kā to pāband hai
ye ik aan meñ
dukh chhupāne lagegā
malāmat-zada ye riyā-kār chehrā
abhī
daf.atan muskurāne lagegā
mere raazdan
meri aankhon mein dekho
batao mujhe kya kahin KHauf hai
kya kahin koi KHwahish
machalti hui pa-barahna mili
kya meri aankh ke bankpan mein
naqahat to ubhri nahin
mohabbat ka dhaga jo uljha hua hai
kahin us ki surKHi to
aankhon mein dikhti nahin
mere raazdan
meri baaton ko socho batao mujhe
kya kahin in mein taqdir se
koi shikwa bhi hai
koi doghla-pan
talaffuz ki ghalati
kahin na-muradi ka be-wazn misra
shaqawat tanaffur bhara koi jumla
agar aisa hai to batao mujhe
mere Dna mein
adakar lamhon ka paiwand hai
mera fan musalsal
hidayat hi ka to paband hai
ye ek aan mein
dukh chhupane lagega
malamat-zada ye riya-kar chehra
abhi
dafatan muskurane lagega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.