adalat
maiñ apnī adālat meñ mujrim khaḌī huuñ
mujhe mere jazboñ mirī ḳhvāhishoñ ne
giraftār kar ke
sar-e-ām zillat se do-chār kar ke
ye da.avā kiyā hai inheñ qaid rakkhā
aur aksar inheñ habs-e-bejā meñ rakh kar
zad-o-kob kar ke
inheñ maar dene kī had tak aziyyat bhī dī hai
maiñ apnī adālat meñ mujrim khaḌī huuñ
main apni adalat mein mujrim khaDi hun
mujhe mere jazbon meri KHwahishon ne
giraftar kar ke
sar-e-am zillat se do-chaar kar ke
ye dawa kiya hai inhen qaid rakkha
aur aksar inhen habs-e-beja mein rakh kar
zad-o-kob kar ke
inhen mar dene ki had tak aziyyat bhi di hai
main apni adalat mein mujrim khaDi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.