adam KHwab ke KHwab mein
chhān kar dekh lī reg-e-dasht-e-ziyāñ
DhūñDh paa.e na ham dūsrā āsmāñ
ajnabī mausamoñ kī uḌānoñ meñ TuuTe paroñ kī tarah
ham jiye bhī to kyā
kis ne dekhā hameñ
chashm-e-nam ke kināroñ pe Thahre hue manzaroñ kī tarah
raat kī aañkh se bah ga.e ḳhvāb bhī ham bhī
ma.adūm kī an-sulī niiñd meñ
yaad ke taaq meñ ab tamannā kī lo
kā nishāñ tak nahīñ
vāhima sā hai bas
koī aahaT thī hamrāh yā kuchh na thā
ḳhvāb-e-hastī hameñ ik aziyyat bhare
dām-e-ma.adūmiyat ke sivā kuchh na thā
chhan kar dekh li reg-e-dasht-e-ziyan
DhunDh pae na hum dusra aasman
ajnabi mausamon ki uDanon mein TuTe paron ki tarah
hum jiye bhi to kya
kis ne dekha hamein
chashm-e-nam ke kinaron pe Thahre hue manzaron ki tarah
raat ki aankh se bah gae KHwab bhi hum bhi
madum ki an-suli nind mein
yaad ke taq mein ab tamanna ki lo
ka nishan tak nahin
wahima sa hai bas
koi aahaT thi hamrah ya kuchh na tha
KHwab-e-hasti hamein ek aziyyat bhare
dam-e-madumiyat ke siwa kuchh na tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 236)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.