aDe kabutar uDe KHayal
ik bosīda masjid meñ
dīvāroñ mehrāboñ par
aur kabhī chhat kī jānib
merī āñkheñ ghuum rahī haiñ
jaane kis ko DhūñD rahī haiñ
merī āñkheñ ruk jaatī haiñ
lohe ke us ḳhālī hook par
jo ḳhālī ḳhālī nazroñ se
har ik chehra dekh rahā hai
ik aise insān kā shāyad
jo ik pañkhā le aa.egā
lā.egā aur duur karegā
masjid kī be-sāmānī ko
ḳhālī hook kī vīrānī par
maiñ ne jab us hook ko dekhā
merī nannhī phuul sī beTī
merī āñkhoñ meñ dauḌ aa.ī
bholī maañ ne us kī
apnī pyārī rāj-dulārī beTī ke
donoñ kānoñ ko
apne hāthoñ se chhed diyā hai
phūloñ jaise kānoñ meñ phir
niim ke tinke Daal diye haiñ
ummīdoñ aasoñ ke sahāre
dil hī dil meñ soch rahī hai
jab ham ko allāh hamārā
thoḌā sā bhī paisa degā
beTī ke kānoñ meñ us din
bāliyāñ hoñgī bunde hoñge
maiñ ne anthak mehnat kar ke
pañkhā ek ḳharīd liyā hai
masjid ke is ḳhālī hook ko
maiñ ne pañkhā sauñp diyā hai
hook meñ pañkhā dekh ke mujh ko
hotā hai mahsūs ki jaise
merī beTī bāliyāñ pahne
ghar kī chhat par ghuum rahī hai
ek bosida masjid mein
diwaron mehrabon par
aur kabhi chhat ki jaanib
meri aankhen ghum rahi hain
jaane kis ko DhunD rahi hain
meri aankhen ruk jati hain
lohe ke us KHali hook par
jo KHali KHali nazron se
har ek chehra dekh raha hai
ek aise insan ka shayad
jo ek pankha le aaega
laega aur dur karega
masjid ki be-samani ko
KHali hook ki virani par
main ne jab us hook ko dekha
meri nannhi phul si beTi
meri aankhon mein dauD aai
bholi man ne us ki
apni pyari raj-dulari beTi ke
donon kanon ko
apne hathon se chhed diya hai
phulon jaise kanon mein phir
nim ke tinke Dal diye hain
ummidon aason ke sahaare
dil hi dil mein soch rahi hai
jab hum ko allah hamara
thoDa sa bhi paisa dega
beTi ke kanon mein us din
baaliyan hongi bunde honge
main ne anthak mehnat kar ke
pankha ek KHarid liya hai
masjid ke is KHali hook ko
main ne pankha saunp diya hai
hook mein pankha dekh ke mujh ko
hota hai mahsus ki jaise
meri beTi baaliyan pahne
ghar ki chhat par ghum rahi hai
- Book : Shahdaba (Pg. 51)
- Author : Munawwar Rana
- Publication : Maktaba Al- Faheem (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.