adhura-pan
tum jo kahte ho mujh se aksar
ke naam tere pe nazm kah duuñ
suno phir tum maiñ chāhtī huuñ
sard rutoñ kī udaas shāmeñ
maiñ sañg tere yuuñ bitā.ūñ
kalā.iyāñ suunī paḌī haiñ kab se
maiñ naam tere kañgan pahnūñ
gulāb gajroñ se ḳhuub mahkūñ
ḳhvāb āñkhoñ se ḳhud jo dekhūñ
tumheñ dikhā.ūñ
gahrī nīñdoñ se fajr ke liye
ḳhud jāgūñ tumheñ jagā.ūñ
hadīs-e-kisā roz-e-jum.a
sunūñ tum se tumheñ sunā.ūñ
tumhārī godī meñ sar rakhe
Dhalī dopahar so jā.ūñ
mere jīvan kī bahār tum ho
merā ye joban siñgār tum ho
mere baḳht kā raaj tum ho
mere sar kā taaj tum ho
tumheñ ḳhabar hai mere mizāj meñ
rūmān kam hai mohabbat kā iz.hār kam hai
tumhī ho jān-e-jāñ jānāñ
maiñ kaise tum ko ye jatā.ūñ
merī āñkhoñ kī rūdād paḌh lo
yā dhaḌkanoñ kī zabāñ sunā.ūñ
mere hone kī tamsīl tum ho
maiñ adhūrī huuñ takmīl tum ho
tum jo kahte ho mujh se aksar
ke nam tere pe nazm kah dun
suno phir tum main chahti hun
sard ruton ki udas shamen
main sang tere yun bitaun
kalaiyan suni paDi hain kab se
main nam tere kangan pahnun
gulab gajron se KHub mahkun
KHwab aankhon se KHud jo dekhun
tumhein dikhaun
gahri nindon se fajr ke liye
KHud jagun tumhein jagaun
hadis-e-kisa roz-e-juma
sunun tum se tumhein sunaun
tumhaari godi mein sar rakhe
Dhali dopahar so jaun
mere jiwan ki bahaar tum ho
mera ye joban singar tum ho
mere baKHt ka raj tum ho
mere sar ka taj tum ho
tumhein KHabar hai mere mizaj mein
ruman kam hai mohabbat ka izhaar kam hai
tumhi ho jaan-e-jaan jaanan
main kaise tum ko ye jataun
meri aankhon ki rudad paDh lo
ya dhaDkanon ki zaban sunaun
mere hone ki tamsil tum ho
main adhuri hun takmil tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.