adhura TukDa
kyuuñ mujhe terī chaah hai
us ko kyuuñ pūchhiye
jis kī būjhan kuchh nahīñ
us ko kyā būjhiye
tujh meñ lākhoñ ḳhūbiyāñ
kyuuñ kar koī ginā.e
marte haiñ kis baat par
kyuuñ kar koī batā.e
sūrat terī mohnī
man meñ khab khab jaa.e
joban terā josh par
dil meñ aag lagā.e
chaal chhabelī mast sī
ek qayāmat Dhaa.e
baat surīle giit sī
dil ko naach nachā.e
kyun mujhe teri chah hai
us ko kyun puchhiye
jis ki bujhan kuchh nahin
us ko kya bujhiye
tujh mein lakhon KHubiyan
kyun kar koi ginae
marte hain kis baat par
kyun kar koi batae
surat teri mohni
man mein khab khab jae
joban tera josh par
dil mein aag lagae
chaal chhabeli mast si
ek qayamat Dhae
baat surile git si
dil ko nach nachae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.