adhuri maut kar karb
us ne mujh se mohabbat kī
maiñ ne use apnā siina chhūne ko kahā
us ne merā dil chuum kar
mujhe amar kar diyā
maiñ ne us se mohabbat kī
us ne mujhe dil chūmne ko kahā
maiñ ne us kā siina chhū kar
use hidāyat baḳhshī
ham donoñ judā ho ga.e
judā.ī ne hamāre ḳhvāb zahrīle kar diye
yak sāñsī maut ab hamārī pahlī tarjīh hai
tanhā.ī kā saañp hameñ raat bhar Dastā rahtā hai
aur sub.h apnā zahr chuus kar
aglī raat Dasne ke liye
zinda chhoḌ jaatā hai
us ne mujh se mohabbat ki
main ne use apna sina chhune ko kaha
us ne mera dil chum kar
mujhe amar kar diya
main ne us se mohabbat ki
us ne mujhe dil chumne ko kaha
main ne us ka sina chhu kar
use hidayat baKHshi
hum donon juda ho gae
judai ne hamare KHwab zahrile kar diye
yak sansi maut ab hamari pahli tarjih hai
tanhai ka sanp hamein raat bhar Dasta rahta hai
aur subh apna zahr chus kar
agli raat Dasne ke liye
zinda chhoD jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.