adhuri nasl ka pura sach
umr kā sūraj sivā neze pe aayā
garm shiryānoñ meñ bahte ḳhuun kā dariyā bhañvar hone lagā
halqa-e-mauj-e-havā kaafī nahīñ
vahshat-e-abr-e-badan ke vāste
āġhosh koī aur ho
varna yuuñ murda saḌak ke ḳhvāb-āvar se kināre
be-ḳhayālī meñ kisī thūke hue bachche kī uljhī saañs meñ lipTī huī ye zindagī!
zehn par bār-e-girāñ band qabā ke lams kā ehsās bhī
aur shahr-e-habs meñ rasta koī khultā nahīñ
shāḳh tanhā se biiye kā ghoñsla girtā nahīñ
vahshat-e-abr-e-badan kī ḳhushk-sālī
ek chullū lams ke paanī kī muhtāj ko rotī hai
magar!
dekhnā āvāra kirneñ dekhnā
jin ko rastoñ meñ bikhartī
titliyoñ sī laḌkiyoñ ke zer jāmoñ
aur shīrīñ jism ke halke masāmoñ tak safar kā izn hai
umr kā sūraj sivā neze pe aayā
ab kitāboñ, taḳhtiyoñ kī be-mazā chhāñv tale ghuTtā hai dam
ab badan chhuptā nahīñ aḳhbār ke malbūs meñ
ab faqat uryāniyāñ
lekin
yaqīnan
maar Dālegī kahīñ
in bhare shahroñ kī tanhā.ī hameñ
umr ka suraj siwa neze pe aaya
garm shiryanon mein bahte KHun ka dariya bhanwar hone laga
halqa-e-mauj-e-hawa kafi nahin
wahshat-e-abr-e-badan ke waste
aaghosh koi aur ho
warna yun murda saDak ke KHwab-awar se kinare
be-KHayali mein kisi thuke hue bachche ki uljhi sans mein lipTi hui ye zindagi!
zehn par bar-e-giran band qaba ke lams ka ehsas bhi
aur shahr-e-habs mein rasta koi khulta nahin
shaKH tanha se biye ka ghonsla girta nahin
wahshat-e-abr-e-badan ki KHushk-sali
ek chullu lams ke pani ki muhtaj ko roti hai
magar!
dekhna aawara kirnen dekhna
jin ko raston mein bikharti
titliyon si laDkiyon ke zer jamon
aur shirin jism ke halke masamon tak safar ka izn hai
umr ka suraj siwa neze pe aaya
ab kitabon, taKHtiyon ki be-maza chhanw tale ghuTta hai dam
ab badan chhupta nahin aKHbar ke malbus mein
ab faqat uryaniyan
lekin
yaqinan
mar Dalegi kahin
in bhare shahron ki tanhai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.