adhuri nazm
añdherī shaam ke sāthī
adhūrī nazm se zor-āzmā haiñ
bar-sar-e-kāġhaz bichhaḌne kī
suno... tum se dil-e-mahzūñ kī bāteñ kahne vāloñ kā
yahī anjām hotā hai
kahīñ satr-e-shikasta kī tarah haiñ chaar shāne chit
kahīñ harf-e-tamannā kī tarah dil meñ tarāzū haiñ
suno... in nīl-chashmoñ saḳht-jānoñ be-zabānoñ par
jo guzregī so guzregī
magar maiñ ik adhūrī nazm kī haijān meñ khoyā
tumheñ āvāz detā huuñ
ki tanhā aadmī taḳhlīq se aarī huā kartā hai
jān-e-man!
suno... mere qarīb aao
ki mujh ko aaj kī raat ik adhūrī nazm puurī kar ke sonā hai!
andheri sham ke sathi
adhuri nazm se zor-azma hain
bar-sar-e-kaghaz bichhaDne ki
suno tum se dil-e-mahzun ki baaten kahne walon ka
yahi anjam hota hai
kahin satr-e-shikasta ki tarah hain chaar shane chit
kahin harf-e-tamanna ki tarah dil mein taraazu hain
suno in nil-chashmon saKHt-jaanon be-zabanon par
jo guzregi so guzregi
magar main ek adhuri nazm ki haijaan mein khoya
tumhein aawaz deta hun
ki tanha aadmi taKHliq se aari hua karta hai
jaan-e-man!
suno mere qarib aao
ki mujh ko aaj ki raat ek adhuri nazm puri kar ke sona hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.