adhuri taswir
ai musavvir mirī tasvīr paḌī hai kab se
ab kisī taur zarā is ko mukammal kar de
apnī taḳhlīq meñ vo rañg bhī shāmil kar de
jo tire zauq-e-hunar kī bhī gavāhī Thahreñ
jhiil sī āñkhoñ kī gahrā.ī meñ tū Duub gayā
surḳh Dore jo haiñ hairat ke na dekhe tū ne
lab ke paimāne tirī pyaas bujhāte haiñ magar
tishna paimānoñ ko to jur.at-e-iz.hār bhī de
merī tasvīr dhanak rañg nahīñ ho paa.ī
mere ḳhvāboñ ko tirī aañkh nahīñ dekh sakī
tū hai ḳhattāt mire harf-e-badan ke badle
vo lakīreñ bhī banā fikr ko zāhir jo kareñ
gesū-o-āriz-o-lab hī tirā me.aar rahe
sañg-e-marmar kā badan hī tirā shahkār rahe
maiñ kuchh us se bhī sivā huuñ tujhe mālūm nahīñ
maiñ tirī dost huuñ lekin tirī mahkūm nahīñ
ai musawwir meri taswir paDi hai kab se
ab kisi taur zara is ko mukammal kar de
apni taKHliq mein wo rang bhi shamil kar de
jo tere zauq-e-hunar ki bhi gawahi Thahren
jhil si aankhon ki gahrai mein tu Dub gaya
surKH Dore jo hain hairat ke na dekhe tu ne
lab ke paimane teri pyas bujhate hain magar
tishna paimanon ko to jurat-e-izhaar bhi de
meri taswir dhanak rang nahin ho pai
mere KHwabon ko teri aankh nahin dekh saki
tu hai KHattat mere harf-e-badan ke badle
wo lakiren bhi bana fikr ko zahir jo karen
gesu-o-ariz-o-lab hi tera mear rahe
sang-e-marmar ka badan hi tera shahkar rahe
main kuchh us se bhi siwa hun tujhe malum nahin
main teri dost hun lekin teri mahkum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.